स्वस्थ  मन  से,  स्नेह  भरे  मन  से  
उल्लास  भरे  मन  से  
इस  दिन  को  मैं  ऐसे  देखूँ  
जैसे  यह  मेरा  छोटा  भाई  हो  
जिसका  संरक्षण  निर्देशन  मेरे  हाथ  में  है।  
मेरे  विचार  शुद्ध  रहें,  
मेरी  धारणाएँ  उदात्त  रहें,  
मेरी  भावनाओं  में  विषमता  न  आवे  
मेरी  वाणी  हृदय  से  निकलने  वाली  हो  
मेरी  बाँहें  स्वागतोत्सुक  और  सबल  हों  
जैसे  हर  बंद  कली  में  
मधुमास  छिपा  रहता  है  
वैसे  ही  हर  मनुष्य  की  आत्मा  में  
जीवन  के  पूर्ण  सौंदर्य  का  भेद  छिपा  रहता  है  
एक  घड़ी  
अशुभ  काम  में,  अशिव  विचार  में  
बिताने  के  अर्थ  हैं  
हृदय  में  संग्रहीत  वैभव  को  नष्ट  करना  
इस  पूरे  दिन  मैं  जागरूक  रहूँ  
ताकि  मेरा  जीवन  इतना  
प्रांजल  रहे  जैसे  
जैसे  किसी  भोली-भाली  लड़की  का  
निश्छल  उल्लास!  
             
                svasth  man  se,  sneh  bhare  man  se  
ullaas  bhare  man  se  
is  din  ko  main  aise  dekhun  
jaise  ye  mera  chhota  bhai  ho  
jiska  sanrakshan  nirdeshan  mere  haath  mein  hai.  
mere  vichar  shuddh  rahen,  
meri  dharnayen  udaatt  rahen,  
meri  bhavnaon  mein  vishamata  na  aave  
meri  vani  hriday  se  nikalne  vali  ho  
meri  banhen  svagtotsuk  aur  sabal  hon  
jaise  har  band  kali  men  
madhumas  chhipa  rahta  hai  
vaise  hi  har  manushya  ki  aatma  men  
jivan  ke  poorn  saundarya  ka  bhed  chhipa  rahta  hai  
ek  ghaDi  
ashubh  kaam  mein,  ashiv  vichar  men  
bitane  ke  arth  hain  
hriday  mein  sangrhit  vaibhav  ko  nasht  karna  
is  pure  din  main  jagaruk  rahun  
taki  mera  jivan  itna  
pranjal  rahe  jaise  
jaise  kisi  bholi  bhali  laDki  ka  
nishchhal  ullaas!  
svasth  man  se,  sneh  bhare  man  se  
ullaas  bhare  man  se  
is  din  ko  main  aise  dekhun  
jaise  ye  mera  chhota  bhai  ho  
jiska  sanrakshan  nirdeshan  mere  haath  mein  hai.  
mere  vichar  shuddh  rahen,  
meri  dharnayen  udaatt  rahen,  
meri  bhavnaon  mein  vishamata  na  aave  
meri  vani  hriday  se  nikalne  vali  ho  
meri  banhen  svagtotsuk  aur  sabal  hon  
jaise  har  band  kali  men  
madhumas  chhipa  rahta  hai  
vaise  hi  har  manushya  ki  aatma  men  
jivan  ke  poorn  saundarya  ka  bhed  chhipa  rahta  hai  
ek  ghaDi  
ashubh  kaam  mein,  ashiv  vichar  men  
bitane  ke  arth  hain  
hriday  mein  sangrhit  vaibhav  ko  nasht  karna  
is  pure  din  main  jagaruk  rahun  
taki  mera  jivan  itna  
pranjal  rahe  jaise  
jaise  kisi  bholi  bhali  laDki  ka  
nishchhal  ullaas!  
 
             
    
 
    
        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : देशान्तर (पृष्ठ 74) 
                                            संपादक  : धर्मवीर भारती  
                                                रचनाकार  : लुइस कने  
                                            
                             प्रकाशन  : भारतीय ज्ञानपीठ, काशी
                         
                                                संस्करण   : 1960 
                 
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.