अक्टूबर।  बिना  तारीख़  के  अनुभव  किया  गया  एक  दिन।  
और  अक्टूबर।  
उसकी  कुर्सी  ख़ाली  पड़ी  है।  वह  यहीं  से  गया  था।  सामने  गुमटी  पर  
पक्षियों  का  एक  जोड़ा  बैठा  है।  अगर  नाम  लेकर  कहना  हो  तो  
कौओं  का।  धूप  उनके  पंखों  के  रंग  में  चमक  की  तरह  चिपकी  हुई  है।  
हवा  चलने  से  धूप  खिसकती  है—पंखों  का  रंग  वही  है;  और  जो  
आदमी  यहाँ  से  गया  था  उसकी  कुर्सी  
ख़ाली  पड़ी  है।  
ठीक  तभी  मैं  उससे  मिला  था।  सीढ़ियों  पर।  नहीं,  वह  एक  गोल  
पत्थर  पर  बैठा  था  और  मैं  उससे  मिला  था।  वह  चुप  था  ׃  
पर  मेरे  भीतर  थरथराती  आवाज़  में  लगातार  कोई  बोले  जा  रहा  था।  
वह  कुर्सी  लाल  नहीं,  नीली  थी।  वह  आदमी  रोशनी  में  भी  
नीला  था।  शर्मिंदा  और  हँसता  हुआ  वह  गया  था।  उसे  
जाना  ही  था  क्योंकि  वह  नीला  था—ठिठुरती  हवा  में  हौसले  से  
सभी  कुछ  सहता  हुआ  वह  नीला  हो  गया  था।  जब  मैं  
उससे  आलिंगनबद्ध  हुआ,  तब  भी  वह  नीला  था  और  किसी  
डर  से  मैं  उससे  दूर  नहीं  हुआ  था।  इसके  बावजूद  
मैं  उससे  मिला  था।  सीढ़ियों  पर।  नहीं,  वह  एक  पेड़  के  
नीचे  खड़ा  था  और  मेरे  पोरों  में  सहलाए  जाने  का  एहसास  था।  
शायद  मैं  भूल  रहा  हूँ।  अक्टूबर  सिर्फ़  अक्टूबर  नहीं  था।  
वह  एक  दिन  था,  तारीख़  थी,  और  महीना  भी।  
एक  अनुभव  भी  था।  एक  मुहूर्त  भी।  पर  उसकी  कुर्सी  
ख़ाली  पड़ी  थी।  मैं  उसे  मिला  भी  था।  और  निश्चय  ही  
वह  अक्टूबर  था।  
             
                october  bina  tarikh  ke  anubhaw  kiya  gaya  ek  din  
aur  october  
uski  kursi  khali  paDi  hai  wo  yahin  se  gaya  tha  samne  gumti  par  
pakshiyon  ka  ek  joDa  baitha  hai  agar  nam  lekar  kahna  ho  to  
kauon  ka  dhoop  unke  pankhon  ke  rang  mein  chamak  ki  tarah  chipki  hui  hai  
hawa  chalne  se  dhoop  khisakti  hai—pankhon  ka  rang  wahi  hai;  aur  jo  
adami  yahan  se  gaya  tha  uski  kursi  
khali  paDi  hai  
theek  tabhi  main  usse  mila  tha  siDhiyon  par  nahin,  wo  ek  gol  
patthar  par  baitha  tha  aur  main  usse  mila  tha  wo  chup  tha  ׃  
par  mere  bhitar  thartharati  awaz  mein  lagatar  koi  bole  ja  raha  tha  
wo  kursi  lal  nahin,  nili  thi  wo  adami  roshni  mein  bhi  
nila  tha  sharminda  aur  hansta  hua  wo  gaya  tha  use  
jana  hi  tha  kyonki  wo  nila  tha—thithurti  hawa  mein  hausale  se  
sabhi  kuch  sahta  hua  wo  nila  ho  gaya  tha  jab  main  
usse  alinganbaddh  hua,  tab  bhi  wo  nila  tha  aur  kisi  
Dar  se  main  usse  door  nahin  hua  tha  iske  bawjud  
main  usse  mila  tha  siDhiyon  par  nahin,  wo  ek  peD  ke  
niche  khaDa  tha  aur  mere  poron  mein  sahlaye  jane  ka  ehsas  tha  
shayad  main  bhool  raha  hoon  october  sirf  october  nahin  tha  
wo  ek  din  tha,  tarikh  thi,  aur  mahina  bhi  
ek  anubhaw  bhi  tha  ek  muhurt  bhi  par  uski  kursi  
khali  paDi  thi  main  use  mila  bhi  tha  aur  nishchay  hi  
wo  october  tha  

        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : आधा दिखता वह आदमी (पृष्ठ 93) 
                                                                    रचनाकार  : सौमित्र मोहन  
                                            
                             प्रकाशन  : संभावना प्रकाशन
                         
                                                संस्करण   : 2018 
                 
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.