नींद इकट्ठी हो रही है
स्वप्न इकट्ठे हो रहे हैं
इकट्ठी हो रही है मृत्यु
जुगनुओं वाली रात की लंबाई-सी
पहाड़ों पर बिताने वाली सर्द रात-सी
वायुमंडल में व्याप्त औरोरा-सी
और तुम्हारे और मेरे साथ-सी
इकट्ठी हो रही हैं यादें
और एहसास तुम्हारे और मेरे
बीच के संवाद की
इकट्ठी तो हो रही हैं नींदें
सपने और मृत्यु
तयशुदा समय पर आ ही जाएगी
नींद, फिर स्वप्न और एक दिन मृत्यु भी
वे सब आवाज़ें ख़त्म तो होगी नहीं
घूमती रहेंगी वायुमंडल में
कहीं ऐसा तो नहीं
यही सब बातें जो की होंगी किसी ने पहले भी
तभी तो घूम-फिरकर आ जाती है
तुम्हारे दिमाग़ में भी
है न कितना कमाल
तभी तो अनादि काल से मनुष्य
ऐसा ही है
नींद, स्वप्न और मृत्यु की तरह
neend ikatthi ho rahi hai
svapn ikatthe ho rahe hain
ikatthi ho rahi hai mrityu
juganuon vali raat ki lambai si
pahaDon par bitane vali sard raat si
vayumanDal mein vyaapt aurora si
aur tumhare aur mere saath si
ikatthi ho rahi hain yaden
aur ehsaas tumhare aur mere
beech ke sanvad ki
ikatthi to ho rahi hain ninden
sapne aur mrityu
tayashuda samay par aa hi jayegi
neend, phir svapn aur ek din mrityu bhi
ve sab avazen khatm to hogi nahin
ghumti rahengi vayumanDal mein
kahin aisa to nahin
yahi sab baten jo ki hongi kisi ne pahle bhi
tabhi to ghoom phirkar aa jati hai
tumhare dimagh mein bhi
hai na kitna kamal
tabhi to anadi kaal se manushya
aisa hi hai
neend, svapn aur mrityu ki tarah
neend ikatthi ho rahi hai
svapn ikatthe ho rahe hain
ikatthi ho rahi hai mrityu
juganuon vali raat ki lambai si
pahaDon par bitane vali sard raat si
vayumanDal mein vyaapt aurora si
aur tumhare aur mere saath si
ikatthi ho rahi hain yaden
aur ehsaas tumhare aur mere
beech ke sanvad ki
ikatthi to ho rahi hain ninden
sapne aur mrityu
tayashuda samay par aa hi jayegi
neend, phir svapn aur ek din mrityu bhi
ve sab avazen khatm to hogi nahin
ghumti rahengi vayumanDal mein
kahin aisa to nahin
yahi sab baten jo ki hongi kisi ne pahle bhi
tabhi to ghoom phirkar aa jati hai
tumhare dimagh mein bhi
hai na kitna kamal
tabhi to anadi kaal se manushya
aisa hi hai
neend, svapn aur mrityu ki tarah
स्रोत :
रचनाकार : संगीता मनराल विज
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.