नदी एक फूल है
प्रवाह उसकी चेतना
मन उसका पानी-सा
पानी उसकी वेदना
नदी का एक गतिरोध है
गतिरोध है वह बाँध
जो ठीक तभी रोकेगा उसके प्रवाह को
जब सबसे तीव्र होगी उसकी चेतना
और प्रबल उसकी वेदना
नदी सहनशील है
वह धीमे से झुक कर
निकल जाना चाहती है
लेकिन उसकी छाती पर
गतिरोध का तीव्र भार
उसे पीस देता है
वह चीत्कार उठती है
वह पिसकर भी नया करेगी
बढ़ती रहेगी
आग बनेगी
नदी की आँखें लाल हैं
लाल ही से जीवन है
आग ही से सृजन है
आग से रक्त में उबाल है
रक्त पानी-सा बह रहा है
पानी जो आग का स्रोत है
स्रोत जो हर क्रिया का आधार है
इन सबके बीच फँसी
धागे-सी मेरी आत्मा
टूटती-जुड़ती
पानी और आग के बीच
नदी-सी गुज़रती
झरनों-सी गिरती
बिखर-बिखर सिमटती
इन इंद्रधनुषी रंगों में भी
देखो नदी कितनी अनुकूल है
नदी एक फूल है।
nadi ek phool hai
pravah uski chetna
man uska pani sa
pani uski vedna
nadi ka ek gatirodh hai
gatirodh hai wo baandh
jo theek tabhi rokega uske pravah ko
jab sabse teevr hogi uski chetna
aur prabal uski vedna
nadi sahanshil hai
wo dhime se jhuk kar
nikal jana chahti hai
lekin uski chhati par
gatirodh ka teevr bhaar
use pees deta hai
wo chitkar uthti hai
wo piskar bhi naya karegi
baDhti rahegi
aag banegi
nadi ki ankhen laal hain
laal hi se jivan hai
aag hi se srijan hai
aag se rakt mein ubaal hai
rakt pani sa bah raha hai
pani jo aag ka srot hai
srot jo har kriya ka adhar hai
in sabke beech phansi
dhage si meri aatma
tutti juDti
pani aur aag ke beech
nadi si guzarti
jharnon si girti
bikhar bikhar simatti
in indradhanushi rangon mein bhi
dekho nadi kitni anukul hai
nadi ek phool hai.
nadi ek phool hai
pravah uski chetna
man uska pani sa
pani uski vedna
nadi ka ek gatirodh hai
gatirodh hai wo baandh
jo theek tabhi rokega uske pravah ko
jab sabse teevr hogi uski chetna
aur prabal uski vedna
nadi sahanshil hai
wo dhime se jhuk kar
nikal jana chahti hai
lekin uski chhati par
gatirodh ka teevr bhaar
use pees deta hai
wo chitkar uthti hai
wo piskar bhi naya karegi
baDhti rahegi
aag banegi
nadi ki ankhen laal hain
laal hi se jivan hai
aag hi se srijan hai
aag se rakt mein ubaal hai
rakt pani sa bah raha hai
pani jo aag ka srot hai
srot jo har kriya ka adhar hai
in sabke beech phansi
dhage si meri aatma
tutti juDti
pani aur aag ke beech
nadi si guzarti
jharnon si girti
bikhar bikhar simatti
in indradhanushi rangon mein bhi
dekho nadi kitni anukul hai
nadi ek phool hai.
स्रोत :
रचनाकार : स्मृति झा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.