मौत  आएगी  और  नींद  से  उठा  देगी।  
दरवाज़े  पर  तीन  बार  दस्तक  होगी,  
और  चौथी  दस्तक  पर  अंकित  होगी  
सूरज  के  गंगा  में  डुबुक  जाने  की  हल्की-सी  आवाज़।  
मौत  पर्दे  सिकोड़कर  घुसेगी  भीतर  
बिना  चप्पलें  उतारे  कमरे  में  टहलेगी  
और  तेज़  कर  देगी  पंखे  की  रफ़्तार।  
मैं  सिमट  चुका  होऊँगा  
खिड़की  की  जाली  से  बहती  रोशनी  की  सिलवटों  में  
और  नहीं  हटाऊँगा  अपने  चेहरे  से  कंबल।  
मौत  मेरे  नंगे  पाँवों  के  तलवे  गुदगुदाएगी  
और  मेरी  रोती  बिल्ली  को  गोद  में  उठा  लेगी।  
मैं  चीख़कर  उठूँगा  
किसी  भयानक  सपने  से  जागने  की  भाँति  पाऊँगा  
एक  सुनसान  कमरे  में  धूल  का  अबूझ  ग़ुबार  
अलमारी  की  सबसे  ऊँची  तल्ली  पर  सोती  हुई  बिल्ली  
पंखे  से  छिटकते  रोशनी  के  छींटे  
और  अपने  मुँह  पर  किसी  का  हाथ।  
मौत  जाएगी  अकेले  और  मैं  दरवाज़े  की  ओर  
खुली  आँखों  से  ताकता  रह  जाऊँगा  
क्योंकि  अगर  मैं  सोया  
तो  मौत  फिर  आएगी  
बिना  चप्पलें  उतारे  
तीन  दस्तकों  के  पार  से  
पंखे  पर  आँखें  गड़ाए  
और  नींद  से  उठा  देगी।  
             
                maut  ayegi  aur  neend  se  utha  degi.  
darvaze  par  teen  baar  dastak  hogi,  
aur  chauthi  dastak  par  ankit  hogi  
suraj  ke  ganga  mein  Dubuk  jane  ki  halki  si  avaz.  
maut  parde  sikoDkar  ghusegi  bhitar  
bina  chapplen  utare  kamre  mein  tahlegi  
aur  tez  kar  degi  pankhe  ki  raftar.  
main  simat  chuka  hounga  
khiDki  ki  jali  se  bahti  roshni  ki  silavton  mein  
aur  nahin  hataunga  apne  chehre  se  kambal.  
maut  mere  nange  panvon  ke  talve  gudagudayegi  
aur  meri  roti  billi  ko  god  mein  utha  legi.  
main  chikhkar  uthunga  
kisi  bhayanak  sapne  se  jagne  ki  bhanti  paunga  
ek  sunsan  kamre  mein  dhool  ka  abujh  ghubar  
almari  ki  sabse  uunchi  talli  par  soti  hui  billi  
pankhe  se  chhitakte  roshni  ke  chhinte  
aur  apne  munh  par  kisi  ka  haath.  
maut  jayegi  akele  aur  main  darvaze  ki  or  
khuli  ankhon  se  takta  rah  jaunga  
kyonki  agar  main  soya  
to  maut  phir  ayegi  
bina  chapplen  utare  
teen  dastkon  ke  paar  se  
pankhe  par  ankhen  gaDaye  
aur  neend  se  utha  degi.  
maut  ayegi  aur  neend  se  utha  degi.  
darvaze  par  teen  baar  dastak  hogi,  
aur  chauthi  dastak  par  ankit  hogi  
suraj  ke  ganga  mein  Dubuk  jane  ki  halki  si  avaz.  
maut  parde  sikoDkar  ghusegi  bhitar  
bina  chapplen  utare  kamre  mein  tahlegi  
aur  tez  kar  degi  pankhe  ki  raftar.  
main  simat  chuka  hounga  
khiDki  ki  jali  se  bahti  roshni  ki  silavton  mein  
aur  nahin  hataunga  apne  chehre  se  kambal.  
maut  mere  nange  panvon  ke  talve  gudagudayegi  
aur  meri  roti  billi  ko  god  mein  utha  legi.  
main  chikhkar  uthunga  
kisi  bhayanak  sapne  se  jagne  ki  bhanti  paunga  
ek  sunsan  kamre  mein  dhool  ka  abujh  ghubar  
almari  ki  sabse  uunchi  talli  par  soti  hui  billi  
pankhe  se  chhitakte  roshni  ke  chhinte  
aur  apne  munh  par  kisi  ka  haath.  
maut  jayegi  akele  aur  main  darvaze  ki  or  
khuli  ankhon  se  takta  rah  jaunga  
kyonki  agar  main  soya  
to  maut  phir  ayegi  
bina  chapplen  utare  
teen  dastkon  ke  paar  se  
pankhe  par  ankhen  gaDaye  
aur  neend  se  utha  degi.  
 
             
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : शाम्भवी तिवारी  
                                            
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.