कोशिश  करता  हूँ  
कि  कविताओं  के  पास  रहूँ  
...नहीं  रह  सकता।  
पर  लौट  ही  जाता  हूँ  
यदा-कदा  
उनके  पास,  
उनके  साथ  रहना  
सुखद  है।  
उपन्यास  के  पास  जाना  
सुखद  से  थोड़ा  ज़्यादा।  
कविताएँ  मुझे  पूरा  नहीं  कर  पा  रही  हैं,  
मुझे  उपन्यास  चाहिए  
—बहुत  बड़े  उपन्यास;  
लिखने  के  लिए  ढेर  सारे  पन्ने  चाहिए।  
किसी  कविता  में  तुम्हारा  वृहत्  बिंब  नहीं  समा  रहा  
कविताएँ  टूट  जाती  हैं  
अपने  ही  संग्रह  में  
और  संवाद  अगर  बेहतर  हो  भी  जाएँ  तो  
काव्य-नाटिकाओं  में  तुम्हारा  आंगिक  अभिनय  नहीं  सधता।  
मैं  मंच  पर  तुम्हें  सजा  नहीं  सकता  
(ऐसा  नहीं  कि  मैं  चाहता  नहीं  
पर  यह  असंभव-सा  है)  
सबके  मन  में  तुम्हारा  अलग-अलग  बिंब  हो  
तो  बेहतर  है।  
बहते  चले  जाना  
और  कविता  का  हो  जाना,  आसान  है।  
तुम्हें  थोड़ा  थोड़ा  लिखकर  
मैं  महीनों  (वर्षों?)  की  मेहनत  से  उपजा  उपन्यास  चाहता  हूँ।  
                koshish  karta  hoon  
ki  kavitaon  ke  paas  rahun  
.  .  .  nahin  rah  sakta.  
par  laut  hi  jata  hoon  
yada  kada  
unke  paas,  
unke  saath  rahna  
sukhad  hai.  
upanyas  ke  paas  jana  
sukhad  se  thoDa  zyada.  
kavitayen  mujhe  pura  nahin  kar  pa  rahi  hain,  
mujhe  upanyas  chahiye  
—bahut  baDe  upanyas;  
likhne  ke  liye  Dher  sare  panne  chahiye.  
kisi  kavita  mein  tumhara  vrihat  bimb  nahin  sama  raha  
kavitayen  toot  jati  hain  
apne  hi  sangrah  mein  
aur  sanvad  agar  behtar  ho  bhi  jayen  to  
kavya  natikaon  mein  tumhara  angik  abhinay  nahin  sadhta.  
main  manch  par  tumhein  saja  nahin  sakta  
(aisa  nahin  ki  main  chahta  nahin  
par  ye  asambhav  sa  hai)  
sabke  man  mein  tumhara  alag  alag  bimb  ho  
to  behtar  hai.  
bahte  chale  jana  
aur  kavita  ka  ho  jana,  asan  hai.  
tumhein  thoDa  thoDa  likhkar  
main  mahinon  (varshon?)  ki  mehnat  se  upja  upanyas  chahta  hoon.  
koshish  karta  hoon  
ki  kavitaon  ke  paas  rahun  
.  .  .  nahin  rah  sakta.  
par  laut  hi  jata  hoon  
yada  kada  
unke  paas,  
unke  saath  rahna  
sukhad  hai.  
upanyas  ke  paas  jana  
sukhad  se  thoDa  zyada.  
kavitayen  mujhe  pura  nahin  kar  pa  rahi  hain,  
mujhe  upanyas  chahiye  
—bahut  baDe  upanyas;  
likhne  ke  liye  Dher  sare  panne  chahiye.  
kisi  kavita  mein  tumhara  vrihat  bimb  nahin  sama  raha  
kavitayen  toot  jati  hain  
apne  hi  sangrah  mein  
aur  sanvad  agar  behtar  ho  bhi  jayen  to  
kavya  natikaon  mein  tumhara  angik  abhinay  nahin  sadhta.  
main  manch  par  tumhein  saja  nahin  sakta  
(aisa  nahin  ki  main  chahta  nahin  
par  ye  asambhav  sa  hai)  
sabke  man  mein  tumhara  alag  alag  bimb  ho  
to  behtar  hai.  
bahte  chale  jana  
aur  kavita  ka  ho  jana,  asan  hai.  
tumhein  thoDa  thoDa  likhkar  
main  mahinon  (varshon?)  ki  mehnat  se  upja  upanyas  chahta  hoon.  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : जयंत शुक्ला 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.