नदी  पूरी  नदी  कहाँ  होती  है  
थोड़ी  माँ  होती  है  
पहाड़  होतें  है  पिता  
शामिल  होते  हैं  सुख-दुख  में  
बारिशें  दे  देती  हैं  हमें  सब  कुछ  
अपने  तरीक़े  से  
आकाश  और  धरती  की  मंत्रणा  से  
बिछा  देती  हैं  हरियाली  जीवन  में  
वृक्ष  पूरे  वृक्ष  कहाँ  होते  हैं  
होते  हैं  सहोदर  
जीवन  की  विचलिताओं  में  
भर  देते  हैं  ऊष्मा  
धरती  पूरी  धरती  कहाँ  होती  है  
होती  है  स्त्री  
आँधी-तूफ़ानों  में  विवेक  संज्ञान  बन  
बाँध  लेती  है  हमारी  हताशाओं  को  
अपने  पल्लू  की  गाँठ  में  
आसमान  पूरा  नीला  कहाँ  होता  है  
होता  है  सखा  
जो  हमारे  स्याह  अँधेरों  को  
छिपा  लेता  है  अपने  सीने  में  
चाँद  पूरा  चाँद  कहाँ  होता  है  
होता  है  प्रेमी  
जो  प्रेमिका  की  उदास  आँखों  में  
बाँध  देता  है  रोशनी  की  लड़ियाँ  
समुद्र  पूरा  समुद्र  कहाँ  होता  है  
होता  है  उत्सव  
जो  जीवन  के  कोलाहल  को  
बदल  देता  है  उत्ताल  लहरों  की  उमंगो  में।  
             
                nadi  puri  nadi  kahan  hoti  hai  
thoDi  maan  hoti  hai  
pahaD  hoten  hai  pita  
shamil  hote  hain  sukh  dukh  men  
barishen  de  deti  hain  hamein  sab  kuch  
apne  tariqe  se  
akash  aur  dharti  ki  mantrna  se  
bichha  deti  hain  hariyali  jivan  men  
vriksh  pure  vriksh  kahan  hote  hain  
hote  hain  sahodar  
jivan  ki  vichalitaon  men  
bhar  dete  hain  uushma  
dharti  puri  dharti  kahan  hoti  hai  
hoti  hai  stri  
andhi  tufanon  mein  vivek  sangyan  ban  
baandh  leti  hai  hamari  hatashaon  ko  
apne  pallu  ki  gaanth  men  
asman  pura  nila  kahan  hota  hai  
hota  hai  sakha  
jo  hamare  syaah  andheron  ko  
chhipa  leta  hai  apne  sine  men  
chaand  pura  chaand  kahan  hota  hai  
hota  hai  premi  
jo  premika  ki  udaas  ankhon  men  
baandh  deta  hai  roshni  ki  laDiyan  
samudr  pura  samudr  kahan  hota  hai  
hota  hai  utsav  
jo  jivan  ke  kolahal  ko  
badal  deta  hai  uttaal  lahron  ki  umango  mein.  
nadi  puri  nadi  kahan  hoti  hai  
thoDi  maan  hoti  hai  
pahaD  hoten  hai  pita  
shamil  hote  hain  sukh  dukh  men  
barishen  de  deti  hain  hamein  sab  kuch  
apne  tariqe  se  
akash  aur  dharti  ki  mantrna  se  
bichha  deti  hain  hariyali  jivan  men  
vriksh  pure  vriksh  kahan  hote  hain  
hote  hain  sahodar  
jivan  ki  vichalitaon  men  
bhar  dete  hain  uushma  
dharti  puri  dharti  kahan  hoti  hai  
hoti  hai  stri  
andhi  tufanon  mein  vivek  sangyan  ban  
baandh  leti  hai  hamari  hatashaon  ko  
apne  pallu  ki  gaanth  men  
asman  pura  nila  kahan  hota  hai  
hota  hai  sakha  
jo  hamare  syaah  andheron  ko  
chhipa  leta  hai  apne  sine  men  
chaand  pura  chaand  kahan  hota  hai  
hota  hai  premi  
jo  premika  ki  udaas  ankhon  men  
baandh  deta  hai  roshni  ki  laDiyan  
samudr  pura  samudr  kahan  hota  hai  
hota  hai  utsav  
jo  jivan  ke  kolahal  ko  
badal  deta  hai  uttaal  lahron  ki  umango  mein.  
 
             
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : वंदना गुप्ता  
                                            
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.