सुन रहा है मनोहर!
उस लड़की का नाम है इस गीत में
जो हमारे साथ पढ़ती थी
मिडिल स्कूल में
मनोहर!
यह क्या हो रहा है
कि इतने दिनों बाद
कल उससे मिलना चाहता हूँ मै
जाने कहाँ होगी वह
कैसे मिलूँगा उससे
उसकी शादी हो गई होगी
और चली गई होगी
पिया संग परदेस तो...
मनोहर!
अपना स्कूल छूटा वह टूटा हुआ
गाँव छुटा लुटा हुआ
पर यह क्या हो रहा है
कि फिर उग उठा है
नीले आसमान में सूरज लाल
बहुत दिन से डूबा हुआ
मनोहर!
तू चुप क्यों है भाई
बचपन से रहा अपना संग-साथ
बाँच ले बाँच
जैसे उन दिनों बाँचता था मेरा हाथ
और कह दे
कि फिर बनेगा मेरा उसका साथ
मनोहर!
मेरी इस पुरानी किताब में देख
लिखा है उसका नाम सलमा
गाँव से छूटती गाड़ी में
जब मैं इसे पलट रहा था
इसी किताब में मिली थी उसकी चिट्ठी
जिसमें लिखा था पगली ने मुझे बलभद्र उर्फ़ ‘बलमा’
मनोहर!
मैं मोड़ नहीं सका
अपनी दिशा उस दिन
मुझे क्या हो गया था
और आज फिर
उसी किताब को पलटते हुए
उसी पुरानी चिट्ठी को पढ़ते
मुझे यह क्या हो रहा है मनोहर, मेरे मित्र!
sun raha hai manohar!
us laDki ka naam hai is geet men
jo hamare saath paDhti thi
middle school men
manohar!
ye kya ho raha hai
ki itne dinon baad
kal usse milna chahta hoon mai
jane kahan hogi wo
kaise milunga usse
uski shadi ho gai hogi
aur chali gai hogi
piya sang pardes to. . .
manohar!
apna school chhuta wo tuta hua
gaanv chhuta luta hua
par ye kya ho raha hai
ki phir ug utha hai nile asman mein suraj laal
bahut din se Duba hua
manohar!
tu chup kyon hai bhai
bachpan se raha apna sang saath
baanch le baanch
jaise un dinon banchata tha mera haath
aur kah de
ki phir banega mera uska saath
manohar!
meri is purani kitab mein dekh
likha hai uska naam salma
gaanv se chhutti gaDi men
jab main ise palat raha tha
isi kitab mein mili thi uski chitthi
jismen likha tha pagli ne mujhe balbhadr urf ‘balma’
manohar!
main moD nahin saka
apni disha us din
mujhe kya ho gaya tha
aur aaj phir
usi kitab ko palatte hue
usi purani chitthi ko paDhte
mujhe ye kya ho raha hai manohar, mere mitr!
sun raha hai manohar!
us laDki ka naam hai is geet men
jo hamare saath paDhti thi
middle school men
manohar!
ye kya ho raha hai
ki itne dinon baad
kal usse milna chahta hoon mai
jane kahan hogi wo
kaise milunga usse
uski shadi ho gai hogi
aur chali gai hogi
piya sang pardes to. . .
manohar!
apna school chhuta wo tuta hua
gaanv chhuta luta hua
par ye kya ho raha hai
ki phir ug utha hai nile asman mein suraj laal
bahut din se Duba hua
manohar!
tu chup kyon hai bhai
bachpan se raha apna sang saath
baanch le baanch
jaise un dinon banchata tha mera haath
aur kah de
ki phir banega mera uska saath
manohar!
meri is purani kitab mein dekh
likha hai uska naam salma
gaanv se chhutti gaDi men
jab main ise palat raha tha
isi kitab mein mili thi uski chitthi
jismen likha tha pagli ne mujhe balbhadr urf ‘balma’
manohar!
main moD nahin saka
apni disha us din
mujhe kya ho gaya tha
aur aaj phir
usi kitab ko palatte hue
usi purani chitthi ko paDhte
mujhe ye kya ho raha hai manohar, mere mitr!
स्रोत :
रचनाकार : हरे प्रकाश उपाध्याय
प्रकाशन : हिंदी समय
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.