पहले स्त्री बाज़ार नहीं जाती थी
वह फैली हुई थी समूचे घर में
उसका ख़ालीपन भरा रहता था हर कोने में
कुछ नहीं माँगता था उसका प्रेम
कल्पना के टूटते सच उसकी गोद में गिरते जाते थे
दूर कहीं हवा में वह बनाती थी घर
सर झुकाए छिपी हुई वह लगती थी सुंदर
अब बाज़ार स्त्री के क़दमों में है
उसके केश सहलाता उतारता कपड़े
सामान कोई भी हो बेची जाती है हमेशा स्त्री
वह बाज़ार को ले आती है घर में
बच्चे से प्यार करती हुई वह खिलाती है उसे आधुनिक कोई उत्पाद
एक दवा उसे कमर दर्द से बचाती है
वह कई घरों को इसी तरह रखती है दुरुस्त
बेहिचक दिखते हैं उसके छिपे हुए अंग
बनते हैं सुंदरियों के इतिहास
ख़रीदनी है अगर दवा तो देखो स्त्री को
दर्द से ज़्यादा असरदार है उसकी कमर
तेल से ज़्यादा सुंदर हैं केश कपड़ों से ज़्यादा देह
देखो चमकीली आँखें चिकनी त्वचा
काली करो कल्पना अगर ख़रीदनी हो ग़ज़ल
शुक्र करो कि ख़ूबसूरत माँएँ बच्चे नहीं बेचतीं
यह काम बदसूरत माँओं के लिए तय किया गया है
सुखी घर के लिए हर सामान बिकता है
यह बात सब छिपाते हैं कि उनसे जीवन का क्या बनता है
pahle istri bazar nahin jati thi
wo phaili hui thi samuche ghar mein
uska khalipan bhara rahta tha har kone mein
kuch nahin mangta tha uska prem
kalpana ke tutte sach uski god mein girte jate the
door kahin hawa mein wo banati thi ghar
sar jhukaye chhipi hui wo lagti thi sundar
ab bazar istri ke qadmon mein hai
uske kesh sahlata utarta kapDe
saman koi bhi ho bechi jati hai hamesha istri
wo bazar ko le aati hai ghar mein
bachche se pyar karti hui wo khilati hai use adhunik koi utpad
ek dawa use kamar dard se bachati hai
wo kai gharon ko isi tarah rakhti hai durust
behichak dikhte hain uske chhipe hue ang
bante hain sundariyon ke itihas
kharidani hai agar dawa to dekho istri ko
dard se zyada asardar hai uski kamar
tel se zyada sundar hain kesh kapDon se zyada deh
dekho chamkili ankhen chikni twacha
kali karo kalpana agar kharidani ho ghazal
shukr karo ki khubsurat manen bachche nahin bechtin
ye kaam badsurat manon ke liye tay kiya gaya hai
sukhi ghar ke liye har saman bikta hai
ye baat sab chhipate hain ki unse jiwan ka kya banta hai

स्रोत :
पुस्तक : एक जन्म में सब (पृष्ठ 25)
रचनाकार : अनीता वर्मा
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.