तुम्हारा  घर  जिसे  आराम  कहते  हैं  
थकी-माँदी  साँझ  कहते  हैं	  
एक  तीली,  एक  दीपक,  एक  चुटकी  
महक  अगरू  की  लहरती  दिन  ढले  की  
रातरानी-सी  गँधीली  बात  तेरी  
बैठ  जाती  हृदय  में  
दिन  ढले  का  एक  सूरज  कँपकँपाता  
पानियों  में  याद  आता  तब  
तुम्हारा  घर  जिसे  आराम  कहते  हैं  
एक  तुलसी,  एक  बछिया,  एक  गाछ  नीम  की  
मंदिर  की  घँटी  से  गूँज  उठती  प्रार्थना-सी  
भरते  अनाज-सा  घर  भर  जाता  तुमसे  
फूलों  की  घाटी  में  उतर  जाता  जीवन  
जीवन  का  बँटा  हुआ  अनायास  काम  सब  
सुस्ताती  दोपहर  का  आराम  सब  
आपस  में  
बतियाता  तुम्हारा  घर  
जिसे  आराम  कहते  हैं।  
आह  ये  सब  कल्पनाएँ  मात्र  हैं  
स्वचालित  यंत्रों  में,  तकनीकी  बस्तों  में  
भटका  कम्प्यूटरों  में,  सुविधा-संयंत्रों  में  
ढह  गया  
तुम्हारा  घर  जिसे  आराम  कहते  हैं  
                tumhara  ghar  jise  aram  kahte  hain  
thaki  mandi  saanjh  kahte  hain  
ek  tili,  ek  dipak,  ek  chutki  
mahak  agru  ki  laharti  din  Dhale  ki  
ratrani  si  gandhili  baat  teri  
baith  jati  hriday  men  
din  Dhale  ka  ek  suraj  kanpknpata  
paniyon  mein  yaad  aata  tab  
tumhara  ghar  jise  aram  kahte  hain  
ek  tulsi,  ek  bachhiya,  ek  gaachh  neem  ki  
mandir  ki  ghanti  se  goonj  uthti  pararthna  si  
bharte  anaj  sa  ghar  bhar  jata  tumse  
phulon  ki  ghati  mein  utar  jata  jivan  
jivan  ka  banta  hua  anayas  kaam  sab  
sustati  dopahar  ka  aram  sab  
aapas  men  
batiyata  tumhara  ghar  
jise  aram  kahte  hain.  
aah  ye  sab  kalpnayen  maatr  hain  
svachalit  yantron  mein,  takniki  baston  men  
bhatka  kampyutron  mein,  suvidha  sanyantron  men  
Dhah  gaya  
tumhara  ghar  jise  aram  kahte  hain  
tumhara  ghar  jise  aram  kahte  hain  
thaki  mandi  saanjh  kahte  hain  
ek  tili,  ek  dipak,  ek  chutki  
mahak  agru  ki  laharti  din  Dhale  ki  
ratrani  si  gandhili  baat  teri  
baith  jati  hriday  men  
din  Dhale  ka  ek  suraj  kanpknpata  
paniyon  mein  yaad  aata  tab  
tumhara  ghar  jise  aram  kahte  hain  
ek  tulsi,  ek  bachhiya,  ek  gaachh  neem  ki  
mandir  ki  ghanti  se  goonj  uthti  pararthna  si  
bharte  anaj  sa  ghar  bhar  jata  tumse  
phulon  ki  ghati  mein  utar  jata  jivan  
jivan  ka  banta  hua  anayas  kaam  sab  
sustati  dopahar  ka  aram  sab  
aapas  men  
batiyata  tumhara  ghar  
jise  aram  kahte  hain.  
aah  ye  sab  kalpnayen  maatr  hain  
svachalit  yantron  mein,  takniki  baston  men  
bhatka  kampyutron  mein,  suvidha  sanyantron  men  
Dhah  gaya  
tumhara  ghar  jise  aram  kahte  hain  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : आकाश वर्मा 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.