(दुबई  पर  )  
सिंधु  के  कछार  पर  
टापुओं  के  धार  पर  
रेत  के  पठार  पर  
बसा  हुआ  मोहक  नगर...।  
बसे  हुए  हो  तुम  
बसे  हुए  हो  इस  क़दर   
ज्यों  विशाल  वृक्ष  के  शाख  पर  
बना  हो  कोई  आशियाना।  
न  आँधियों  का  कोई  डर  
तुफानों  से  भी  बे-ख़बर...।  
आकाश  छूती  इमारतें  
उँचाईयों  की  चाहतें  
वास्तुविदों  की  कल्पना  
रूप  लेती  ख़्वाहिशें  
ऐश्वर्य  की  नूमाईशें   
जगमगाती  रौशनी  
धुला  धुला-सा  
हर  डगर  
धुली  हुई  
ज्यों  चाँदनी  
सजा-सजा-सा  
हर  नगर  
ज्यों  सागर  के  भाल  पर  
रत्न  जड़ित  
मुकुट  कोई...।   
दृष्य  का  यह   
अन्य  पट  
रेगिस्तान  का  सफ़र  
मरु  देश  के  डगर   
मरुद्वीप  के  पहाड़  पर  
रेत  के  पसार  पर  
प्रकृति  के  कैनवास  पर  
छोटी-मोटी  
अनगिन  चोटियाँ  
उसपर  ज्यों  
पवन  की  कशीदाकारी  
सागर  की  लहरों-सा  
रेत  में  तरंगे  देखी  
सूर्य  ने  बिखेरे  रंग  
वायु  के  उमंग  देखी  
रेत  के  तरंगों-सा   
मन  में  तरंग  देखी  
देखी  अलौकिक  कृति  
अद्भुत  अनोखी  छवि  
मन  में  अनेक  प्रश्न  
किसकी  यह  
अभिकल्पना!  
कौन  है  
यह  चित्रकार...!  
कौन  है  
यह  वास्तुकार...!  
कौन  है  यह  
वास्तुकार...!!  
                (dubii  par  )  
sindhu  ke  kachhar  par,  
tapuon  ke  dhaar  par,  
ret  ke  pathar  par,  
basa  hua  mohak  nagar.  .  .  .  
base  hue  ho  tum,  
base  hue  ho  is  qadar,  
jyon  vishal  vriksh  ke  shaakh  par  
bana  ho  koi  ashiyana.  
na  andhiyon  ka  koi  Dar  
tuphanon  se  bhi  be  khabar.  .  .  .  
akash  chhuti  imarten,  
unchaiyon  ki  chahten  
vastuvidon  ki  kalpana  
roop  leti  khvahishen  
aishvarya  ki  numaishen  
jagmagati  raushani  
dhula  dhula  sa  
har  Dagar  
dhuli  hui  
jyon  chandni  
saja  saja  sa  
har  nagar  
jyon  sagar  ke  bhaal  par  
ratn  jaDit  
mukut  koi.  .  .  .  
drishya  ka  ye  
anya  pat  
registan  ka  safar  
maru  desh  ke  Dagar  
marudvip  ke  pahaD  par  
ret  ke  pasar  par  
prkriti  ke  kainvas  par  
chhoti  moti  
angin  chotiyan  
uspar  jyon  
pavan  ki  kashidakari  
sagar  ki  lahron  sa  
ret  mein  tarange  dekhi  
surya  ne  bikhere  rang  
vayu  ke  umang  dekhi  
ret  ke  tarangon  sa  
man  mein  tarang  dekhi  
dekhi  alaukik  kriti  
adbhut  anokhi  chhavi  
man  mein  anek  parashn  
kiski  ye  
abhikalpana!  
kaun  hai  
ye  chitrkar.  .  .  !  
kaun  hai  
ye  vastukar.  .  .  !  
kaun  hai  ye  
vastukar.  .  .  !!  
(dubii  par  )  
sindhu  ke  kachhar  par,  
tapuon  ke  dhaar  par,  
ret  ke  pathar  par,  
basa  hua  mohak  nagar.  .  .  .  
base  hue  ho  tum,  
base  hue  ho  is  qadar,  
jyon  vishal  vriksh  ke  shaakh  par  
bana  ho  koi  ashiyana.  
na  andhiyon  ka  koi  Dar  
tuphanon  se  bhi  be  khabar.  .  .  .  
akash  chhuti  imarten,  
unchaiyon  ki  chahten  
vastuvidon  ki  kalpana  
roop  leti  khvahishen  
aishvarya  ki  numaishen  
jagmagati  raushani  
dhula  dhula  sa  
har  Dagar  
dhuli  hui  
jyon  chandni  
saja  saja  sa  
har  nagar  
jyon  sagar  ke  bhaal  par  
ratn  jaDit  
mukut  koi.  .  .  .  
drishya  ka  ye  
anya  pat  
registan  ka  safar  
maru  desh  ke  Dagar  
marudvip  ke  pahaD  par  
ret  ke  pasar  par  
prkriti  ke  kainvas  par  
chhoti  moti  
angin  chotiyan  
uspar  jyon  
pavan  ki  kashidakari  
sagar  ki  lahron  sa  
ret  mein  tarange  dekhi  
surya  ne  bikhere  rang  
vayu  ke  umang  dekhi  
ret  ke  tarangon  sa  
man  mein  tarang  dekhi  
dekhi  alaukik  kriti  
adbhut  anokhi  chhavi  
man  mein  anek  parashn  
kiski  ye  
abhikalpana!  
kaun  hai  
ye  chitrkar.  .  .  !  
kaun  hai  
ye  vastukar.  .  .  !  
kaun  hai  ye  
vastukar.  .  .  !!  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : कलानाथ मिश्र 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.