(मानुअल  मैयीआ  वायेख़ो  और  डोरा  लूस  के  लिए)  
किसी  आदमी  का  घर,  
किसी  ऐसे  आदमी  के  लिए  घर  जिसका  घर  नहीं  हो  सकता।  
किसी  आदमी  के  घर  का  आँगन,  
आँगन  जहाँ  बारिश  अपने  आप  को  गेहूँ  की  तरह  बो  रही  है।  
किसी  आदमी  के  घर  का  पेड़,  
पेड़  जो  समय  के  बीतने  का  ध्यान  रखता  है।  
किसी  आदमी  के  घर  का  प्रकाश,  
प्रकाश  जो  रात  को  अपने  जूते  खोल  देता  है  
किसी  आदमी  के  घर  का  दरवाज़ा,  
दरवाज़ा  जो  अब  दरवाज़ा  नहीं  रहना  चाहता।  
किसी  आदमी  के  घर  की  छत,  
छत  जो  उसके  पैरों  के  निशान  का  पीछा  करने  के  लिए  पंखों  में  बँट  जाती  है।  
किसी  आदमी  के  घर  की  खिड़की,  
खिड़की  जो  उसके  चेहरे  की  परवाह  करने  के  लिए  उसका  चेहरा  अपने  ऊपर  उकेर  लेती  है।  
किसी  आदमी  के  घर  की  हवा,  
हवा  जो  उसको  अपने  अंदर  भर  लेती  है  लेती  है  जब  वह  इससे  साँस  लेता  है।  
किसी  आदमी  के  घर  का  चित्र,  
चित्र  जो  उसके  चित्र  की  नक़ल  करता  है।  
किसी  आदमी  के  घर  का  खंडहर,  
बस  खंडहर  ही  है  जो  हारे  नहीं  हैं।  
किसी  आदमी  के  घर  की  परछाईं,  
परछाईं  जो  आदमी  की  परछाईं  से  सुख  लेती  है।  
किसी  आदमी  के  घर  का  प्रेम  
प्रेम  जो  घर  को  भर  देता  है  और  घर  को  ख़ाली  कर  देता  है।  
                (manual  maiyia  wayekho  aur  Dora  loos  ke  liye)  
kisi  adami  ka  ghar,  
kisi  aise  adami  ke  liye  ghar  jiska  ghar  nahin  ho  sakta  
kisi  adami  ke  ghar  ka  angan,  
angan  jahan  barish  apne  aap  ko  gehun  ki  tarah  bo  rahi  hai  
kisi  adami  ke  ghar  ka  peD,  
peD  jo  samay  ke  bitne  ka  dhyan  rakhta  hai  
kisi  adami  ke  ghar  ka  parkash,  
parkash  jo  raat  ko  apne  jute  khol  deta  hai  
kisi  adami  ke  ghar  ka  darwaza,  
darwaza  jo  ab  darwaza  nahin  rahna  chahta  
kisi  adami  ke  ghar  ki  chhat,  
chhat  jo  uske  pairon  ke  nishan  ka  pichha  karne  ke  liye  pankhon  mein  bant  jati  hai  
kisi  adami  ke  ghar  ki  khiDki,  
khiDki  jo  uske  chehre  ki  parwah  karne  ke  liye  uska  chehra  apne  upar  uker  leti  hai  
kisi  adami  ke  ghar  ki  hawa,  
hawa  jo  usko  apne  andar  bhar  leti  hai  leti  hai  jab  wo  isse  sans  leta  hai  
kisi  adami  ke  ghar  ka  chitr,  
chitr  jo  uske  chitr  ki  naqal  karta  hai  
kisi  adami  ke  ghar  ka  khanDhar,  
bus  khanDhar  hi  hai  jo  hare  nahin  hain  
kisi  adami  ke  ghar  ki  parchhain,  
parchhain  jo  adami  ki  parchhain  se  sukh  leti  hai  
kisi  adami  ke  ghar  ka  prem  
prem  jo  ghar  ko  bhar  deta  hai  aur  ghar  ko  khali  kar  deta  hai  
(manual  maiyia  wayekho  aur  Dora  loos  ke  liye)  
kisi  adami  ka  ghar,  
kisi  aise  adami  ke  liye  ghar  jiska  ghar  nahin  ho  sakta  
kisi  adami  ke  ghar  ka  angan,  
angan  jahan  barish  apne  aap  ko  gehun  ki  tarah  bo  rahi  hai  
kisi  adami  ke  ghar  ka  peD,  
peD  jo  samay  ke  bitne  ka  dhyan  rakhta  hai  
kisi  adami  ke  ghar  ka  parkash,  
parkash  jo  raat  ko  apne  jute  khol  deta  hai  
kisi  adami  ke  ghar  ka  darwaza,  
darwaza  jo  ab  darwaza  nahin  rahna  chahta  
kisi  adami  ke  ghar  ki  chhat,  
chhat  jo  uske  pairon  ke  nishan  ka  pichha  karne  ke  liye  pankhon  mein  bant  jati  hai  
kisi  adami  ke  ghar  ki  khiDki,  
khiDki  jo  uske  chehre  ki  parwah  karne  ke  liye  uska  chehra  apne  upar  uker  leti  hai  
kisi  adami  ke  ghar  ki  hawa,  
hawa  jo  usko  apne  andar  bhar  leti  hai  leti  hai  jab  wo  isse  sans  leta  hai  
kisi  adami  ke  ghar  ka  chitr,  
chitr  jo  uske  chitr  ki  naqal  karta  hai  
kisi  adami  ke  ghar  ka  khanDhar,  
bus  khanDhar  hi  hai  jo  hare  nahin  hain  
kisi  adami  ke  ghar  ki  parchhain,  
parchhain  jo  adami  ki  parchhain  se  sukh  leti  hai  
kisi  adami  ke  ghar  ka  prem  
prem  jo  ghar  ko  bhar  deta  hai  aur  ghar  ko  khali  kar  deta  hai  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                            संपादक  : अविनाश मिश्र रचनाकार  : रोबेर्तो ख्वार्रोस 
                             प्रकाशन  : सदानीरा पत्रिका, अंक-21
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.