आसक्त  हूँ  में  प्रकृति  पर,  
प्रकृतिदत्त  हर  अमानवीय  उपहार  
और  उनकी  प्रवृत्ति  पर,  
सुदूर  तक  आँचल  पसारे  हरियाली  
नीलांबर  में  उड़ते  विहग  
आच्छादित  श्यामल  घटाएँ  
चरते  हुए  पशु  झुँड,  
खेतो  में  चलते  हुए  हल  
वातावरण  में  छाई  पुष्पगंध,  
पेड़ों  पर  पके  फल।  
मगर  अनासक्त  हूँ  
प्रकृतिदत्त  एक  जीव  
मानव  और  उसकी  प्रवृत्ति  पर  
क्योंकि  उसकी  हैवानियत  
इतना  रक्त  बहा  चुकी  है  
हरी  भरी  
धूल  धूसरित  धरा  भी  
छक  कर  नहा  चुकी  है।  
अब  तो  मैं  हूँ  
लाल  रंग  से  पूर्व  परिचित-सा  
'सावन  के  अँधे  का'  
भाव  लिए  किंचित-सा  
इसीलिए  हर  रक्त  वर्ण  वस्तु  
नज़र  आने  लगी  भूतहा  परछाई-सी।  
रक्तवासस  यौवना  
उसके  निर्दोष  चेहरे  की  रक्तिम  आभा  
प्राची  में  अरुणोदय  वेला  पर  छाई  रक्तिमा  
ललाट  की  शोभा  बढ़ाता  मांगलिक  तिलक  
सरोवर  में  पुष्पित  रक्तोल्पल  
सभी  की  छवि  
दृष्टिगत  है  घबराई-सी  
लगता  है  आतंकवादियों  की  बंदूक  से  छूटी  गोली  
बेध  गई  है  किसी  को  
सभी  आकृतियाँ  लगती  हैं  
स्रावित  रक्त  में  नहाई-सी।  
प्रकृति  मानव  की  रचयिता  
पर  मानव  प्रकृति  का  संहारक,  
कैसी  विडंबना  है?  
सच  में  आज  का  मतिभ्रष्ट  मानव  
मौत  पर  इतना  आसक्त  हो  गया  है  
कि  अपने  ही  रक्त  से  
विरक्त  हो  गया  है।  
                asakt  hoon  mein  prkriti  par,  
prakritidatt  har  amanaviy  uphaar  
aur  unki  prvritti  par,  
sudur  tak  anchal  pasare  hariyali  
nilambar  mein  uDte  vihag  
achchhadit  shyamal  ghatayen  
charte  hue  pashu  jhunD,  
kheto  mein  chalte  hue  hal  
vatavran  mein  chhai  pushpgandh,  
peDon  par  pake  phal.  
magar  anasakt  hoon  
prakritidatt  ek  jeev  
manav  aur  uski  prvritti  par  
kyonki  uski  haivaniyat  
itna  rakt  baha  chuki  hai  
hari  bhari  
dhool  dhusarit  dhara  bhi  
chhak  kar  nha  chuki  hai.  
ab  to  main  hoon  
laal  rang  se  poorv  parichit  sa  
savan  ke  andhe  ka  
bhaav  liye  kinchit  sa  
isiliye  har  rakt  varn  vastu  
nazar  aane  lagi  bhutaha  parchhai  si.  
raktvasas  yauvna  
uske  nirdosh  chehre  ki  raktim  aabha  
prachi  mein  arunoday  vela  par  chhai  raktima  
lalat  ki  shobha  baDhata  manglik  tilak  
sarovar  mein  pushpit  raktolpal  
sabhi  ki  chhavi  
drishtigat  hai  lalai  ki  
lagta  hai  atankvadiyon  ki  banduk  se  chhuti  goli  
bedh  gai  hai  kisi  ko  
sabhi  akritiyan  lagti  hain  
sravit  rakt  mein  nahai  si.  
prkriti  manav  ki  rachyita  
par  manav  prkriti  ka  sanharak,  
kaisi  viDambna  hai?  
sach  mein  aaj  ka  matibhrasht  manav  
maut  par  itna  asakt  ho  gaya  hai  
ki  apne  hi  rakt  se  
virakt  ho  gaya  hai.  
asakt  hoon  mein  prkriti  par,  
prakritidatt  har  amanaviy  uphaar  
aur  unki  prvritti  par,  
sudur  tak  anchal  pasare  hariyali  
nilambar  mein  uDte  vihag  
achchhadit  shyamal  ghatayen  
charte  hue  pashu  jhunD,  
kheto  mein  chalte  hue  hal  
vatavran  mein  chhai  pushpgandh,  
peDon  par  pake  phal.  
magar  anasakt  hoon  
prakritidatt  ek  jeev  
manav  aur  uski  prvritti  par  
kyonki  uski  haivaniyat  
itna  rakt  baha  chuki  hai  
hari  bhari  
dhool  dhusarit  dhara  bhi  
chhak  kar  nha  chuki  hai.  
ab  to  main  hoon  
laal  rang  se  poorv  parichit  sa  
savan  ke  andhe  ka  
bhaav  liye  kinchit  sa  
isiliye  har  rakt  varn  vastu  
nazar  aane  lagi  bhutaha  parchhai  si.  
raktvasas  yauvna  
uske  nirdosh  chehre  ki  raktim  aabha  
prachi  mein  arunoday  vela  par  chhai  raktima  
lalat  ki  shobha  baDhata  manglik  tilak  
sarovar  mein  pushpit  raktolpal  
sabhi  ki  chhavi  
drishtigat  hai  lalai  ki  
lagta  hai  atankvadiyon  ki  banduk  se  chhuti  goli  
bedh  gai  hai  kisi  ko  
sabhi  akritiyan  lagti  hain  
sravit  rakt  mein  nahai  si.  
prkriti  manav  ki  rachyita  
par  manav  prkriti  ka  sanharak,  
kaisi  viDambna  hai?  
sach  mein  aaj  ka  matibhrasht  manav  
maut  par  itna  asakt  ho  gaya  hai  
ki  apne  hi  rakt  se  
virakt  ho  gaya  hai.  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : विजयपाल सिंह बीदावत 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.