आदमी  ने  स्वयं  को  घेर  लिया  
व्योम  बेहद  डरावना  था  
काल  बेहद  उदास  
तब  उसने  सुरक्षित  महसूस  किया  
अनंत  व्योम  की  जगह  वहाँ  थीं  विशुद्ध  सफ़ेद  दीवारें  
अनंत  काल  की  जगह  मुलायम  बिस्तर  
तब  भी  ज़रूरत  थी  खिड़की-दरवाज़ों  की  
दरवाज़े  जिगरी  दोस्तों  की  ख़ातिर  
खिड़कयाँ  गर्मियों  के  ख़ूबसूरत  सूर्य  के  लिए  
दिन  में  बाहर  नीला  आकाश  है  और  मेघों  की  दीवारें  
मैदानों  और  सड़कों  का  बिस्तर  
हालाँकि  रात  में  आदमी  ने  स्वयं  को  भीतर  बंद  कर  लिया  
'प्रिय  कमरा'  बुदबुदाते  रहे  हैं  मनुष्य  हमेशा  से  
आकाश  ने  ईमानदारी  से  आदमी  का  क़रीबी  रिश्ता  बनाया  
बसंत  ग्रीष्म  शरद  और  सर्दियों  से  अचानक  मृत्यु  के  दिन  तक  
मैं  कुछ  नहीं  जानता  उस  आदमी  के  बारे  में  
लेकिन  उसके  बग़ैर  यह  कमरा  
धीरे-धीरे  लगने  लगता  है  ब्रह्माण्ड-सा  
                adami  ne  svayan  ko  gher  liya  
vyom  behad  Daravna  tha  
kaal  behad  udaas  
tab  usne  surakshit  mahsus  kiya  
anant  vyom  ki  jagah  vahan  theen  vishuddh  safed  divaren  
anant  kaal  ki  jagah  mulayam  bistar  
tab  bhi  zarurat  thi  khiDki  darvazon  ki  
darvaze  jigri  doston  ki  khatir  
khiDakyan  garmiyon  ke  khubsurat  surya  ke  liye  
din  mein  bahar  nila  akash  hai  aur  meghon  ki  divaren  
maidanon  aur  saDkon  ka  bistar  
halanki  raat  mein  adami  ne  svayan  ko  bhitar  band  kar  liya  
priy  kamra  budbudate  rahe  hain  manushya  hamesha  se  
akash  ne  iimandari  se  adami  ka  qaribi  rishta  banaya  
basant  greeshm  sharad  aur  sardiyon  se  achanak  mrityu  ke  din  tak  
main  kachh  nahin  janta  us  adami  ke  bare  mein  
lekin  uske  baghair  ye  kamra  
dhire  dhire  lagne  lagta  hai  brahmanD  sa  
adami  ne  svayan  ko  gher  liya  
vyom  behad  Daravna  tha  
kaal  behad  udaas  
tab  usne  surakshit  mahsus  kiya  
anant  vyom  ki  jagah  vahan  theen  vishuddh  safed  divaren  
anant  kaal  ki  jagah  mulayam  bistar  
tab  bhi  zarurat  thi  khiDki  darvazon  ki  
darvaze  jigri  doston  ki  khatir  
khiDakyan  garmiyon  ke  khubsurat  surya  ke  liye  
din  mein  bahar  nila  akash  hai  aur  meghon  ki  divaren  
maidanon  aur  saDkon  ka  bistar  
halanki  raat  mein  adami  ne  svayan  ko  bhitar  band  kar  liya  
priy  kamra  budbudate  rahe  hain  manushya  hamesha  se  
akash  ne  iimandari  se  adami  ka  qaribi  rishta  banaya  
basant  greeshm  sharad  aur  sardiyon  se  achanak  mrityu  ke  din  tak  
main  kachh  nahin  janta  us  adami  ke  bare  mein  
lekin  uske  baghair  ye  kamra  
dhire  dhire  lagne  lagta  hai  brahmanD  sa  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : पुनर्वसु (पृष्ठ 309)संपादक  : अशोक वाजपेयी रचनाकार  : शुन्तारो तानीकावा 
                             प्रकाशन  : राजकमल प्रकाशन, नई दिल्ली
                         
                                                संस्करण   : 1989 
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.