रानी  चेन्नम्मा  है  इसमें  
और  वीरांगना  लक्ष्मीबाई  भी  
अहिल्या  बाई  की  जीवन  गाथा  है   
छोटी  चम्पा  के  त्याग  की  कथा  भी।  
अब  देखो  ये  है  विश्व  की  लोककथाएँ   
वस्त्र,  संस्कृति,  भाषा  के  पीछे  
हर  जगह  सिर्फ़  आदमी  है  
जिसे  लगती  है  भूख  
जो  चाहता  है  कपड़े  और   
एक  छोटा-सा  घर।  
अब  बारी  थी  नीली  चिड़िया  के  देश  की  
मुख  पृष्ठ  के  चित्र  के  साथ   
पर  फैला  कर  उड़ना  शुरूकर  दिया  था   
उस  नन्हीं  बालिका  ने  उसी  पल।  
छोटी-सी  दौहित्री  के  समक्ष  
खोला  जा  रहा  था  नाना  द्वारा  
वृहत  संसार  सशक्त  स्त्रियों  का  
जोड़ा  जा  रहा  था  रिश्ता   
मनुष्य  का  मनुष्य  से  और  
रंगा  जा  रहा  कोरे  मन  पर  
अनदेखे  देश  के  सतरंगी  रंग।  
व्यक्ति  विमर्श  की  परिभाषा  सिखाया  था   
उन  किताबों  ने  और  नाना  ने  
आज  हर  किताब  की  दुकान  के  सामने   
ठिठकता  है  कदम  उसका  
क्योंकि  विरासत  आगे  बढ़ाने  का  ज़िम्मा   
अब  उसका  है।  
                rani  chennamma  hai  ismen  
aur  virangna  lakshmibai  bhi  
ahilya  bai  ki  jivan  gatha  hai  
chhoti  champa  ke  tyaag  ki  katha  bhi.  
ab  dekho  ye  hai  vishv  ki  lokakthayen  
vastra,  sanskriti,  bhasha  ke  pichhe  
har  jagah  sirf  adami  hai  
jise  lagti  hai  bhookh  
jo  chahta  hai  kapDe  aur  
ek  chhota  sa  ghar.  
ab  bari  thi  nili  chiDiya  ke  desh  ki  
mukh  prishth  ke  chitr  ke  saath  
par  phaila  kar  uDna  shurukar  diya  tha  
us  nanhin  balika  ne  usi  pal.  
chhoti  si  dauhitri  ke  samaksh  
khola  ja  raha  tha  nana  dvara  
vrihat  sansar  sashakt  striyon  ka  
joDa  ja  raha  tha  rishta  
manushya  ka  manushya  se  aur  
ranga  ja  raha  kore  man  par  
andekhe  desh  ke  satrangi  rang.  
vyakti  vimarsh  ki  paribhasha  sikhaya  tha  
un  kitabon  ne  aur  nana  ne  
aaj  har  kitab  ki  dukan  ke  samne  
thithakta  hai  kadam  uska  
kyonki  virasat  aage  baDhane  ka  zimma  
ab  uska  hai.  
rani  chennamma  hai  ismen  
aur  virangna  lakshmibai  bhi  
ahilya  bai  ki  jivan  gatha  hai  
chhoti  champa  ke  tyaag  ki  katha  bhi.  
ab  dekho  ye  hai  vishv  ki  lokakthayen  
vastra,  sanskriti,  bhasha  ke  pichhe  
har  jagah  sirf  adami  hai  
jise  lagti  hai  bhookh  
jo  chahta  hai  kapDe  aur  
ek  chhota  sa  ghar.  
ab  bari  thi  nili  chiDiya  ke  desh  ki  
mukh  prishth  ke  chitr  ke  saath  
par  phaila  kar  uDna  shurukar  diya  tha  
us  nanhin  balika  ne  usi  pal.  
chhoti  si  dauhitri  ke  samaksh  
khola  ja  raha  tha  nana  dvara  
vrihat  sansar  sashakt  striyon  ka  
joDa  ja  raha  tha  rishta  
manushya  ka  manushya  se  aur  
ranga  ja  raha  kore  man  par  
andekhe  desh  ke  satrangi  rang.  
vyakti  vimarsh  ki  paribhasha  sikhaya  tha  
un  kitabon  ne  aur  nana  ne  
aaj  har  kitab  ki  dukan  ke  samne  
thithakta  hai  kadam  uska  
kyonki  virasat  aage  baDhane  ka  zimma  
ab  uska  hai.  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : मेधा झा 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.