एक  श्रोत्रिय  ब्राह्मण  ने  कहा  
कि  हम  श्रोत्रिय  जो  होते  हैं  
वे  ब्राह्मणों  में  सर्वश्रेष्ठ  होते  हैं  
और  बाक़ी  ब्राह्मण  शूद्र  
एक  वत्स  भूमिहार  ने  कहा  
कि  हम  वत्स  जो  होते  हैं  
वे  भूमिहारों  में  सर्वश्रेष्ठ  होते  हैं  
और  बाक़ी  भूमिहार  अधम  
एक  चौहाण  राजपूत  ने  कहा  
कि  हम  चौहाण  जो  होते  हैं  
वे  राजपूतों  में  सबसे  बड़े  होते  हैं  
और  बाक़ी  राजपूत  नीच  
एक  अंबष्ठ  कायस्थ  ने  कहा  
कि  हम  अंबष्ठ  जो  होते  हैं  
वे  कायस्थों  में  सर्वश्रेष्ठ  होते  हैं  
और  बाक़ी  कायस्थ  निम्न  
एक  भगत  कलबार  ने  कहा  
कि  हम  भगत  जो  होते  हैं  
वे  कलबारों  में  सर्वश्रेष्ठ  होते  हैं  
और  बाक़ी  कलबार  अंत्यज  
एक  कृष्णायत  यादव  ने  कहा  
की  हम  कृष्णायत  जो  होते  हैं  
वे  यादवों  में  सर्वश्रेष्ठ  होते  हैं  
और  बाक़ी  यादव  कमीन  
एक  अवधिया  कुर्मी  ने  कहा  
कि  हम  अवधिया  जो  होते  हैं  
वे  कुर्मियों  में  सर्वश्रेष्ठ  होते  हैं  
और  बाक़ी  कुर्मी  चांडाल  
एक  मौर्य  कोयरी  ने  कहा  
कि  हम  मौर्य  जो  होते  हैं  
वे  कोयरियों  में  सर्वश्रेष्ठ  होते  हैं  
और  बाक़ी  कोयरी  अज्ञात-कुलहीन  
एक  बालियान  जाट  ने  कहा  
कि  हम  बालियान  जो  होते  हैं  
वे  जाटों  में  सर्वोच्च  कुलोत्पन्न  होते  हैं  
और  बाक़ी  जाट  शूद्रातिशूद्र  
एक  नागर  गुर्जर  ने  कहा  
कि  हम  नागर  जो  होते  हैं  
वे  गुर्जरों  में  सर्वश्रेष्ठ  होते  हैं  
और  बाक़ी  गुर्जर  अछूत  
एक  रविदासिए  चमार  ने  कहा  
कि  हम  रविदासिए  जो  होते  हैं  
वे  चमारों  में  ब्राह्मण  होते  हैं  
और  बाक़ी  चमार  अस्पृश्य  
एक  मधेशी  पासवान  ने  कहा  
कि  हम  मधेशी  जो  होते  हैं  
वे  पासवानों  में  राजपूत  होते  हैं  
और  बाक़ी  पासवान  पिछड़े  
एक  नावरिया  खटिक  ने  कहा  
कि  हम  नावरिया  जो  होते  हैं  
वे  खटिकों  के  राजा  होते  हैं  
और  बाक़ी  खटिक  उनकी  प्रजा  
एक  किस्कू  आदिवासी  ने  कहा  
की  हम  किस्कू  जो  होते  हैं  
वे  आदिवासियों  में  शेर  होते  हैं  
और  बाक़ी  आदिवासी  गीदड़  
जिस  देश  को  
इतनी  जातियों  और  उपजातियों  में  
बाँट  दिया  गया  हो  
और  जहाँ  पर  
एक  ही  जाति  के  कुछ  लोग  
अपने  को  सर्वश्रेष्ठ  और  सबसे  बड़ा  बताते  हों  
और  अपने  ही  भाई-बंधुओं  को  अधम  और  नीच  
उसके  लिए  
भारत  क्या  ख़ाक  सर्वश्रेष्ठ  और  सबसे  बड़ा  होगा!  
                ek  shrotriy  brahman  ne  kaha  
ki  hum  shrotriy  jo  hote  hain  
we  brahmnon  mein  sarwashreshth  hote  hain  
aur  baqi  brahman  shoodr  
ek  wats  bhumihar  ne  kaha  
ki  hum  wats  jo  hote  hain  
we  bhumiharon  mein  sarwashreshth  hote  hain  
aur  baqi  bhumihar  adham  
ek  chauhan  rajput  ne  kaha  
ki  hum  chauhan  jo  hote  hain  
we  rajputon  mein  sabse  baDe  hote  hain  
aur  baqi  rajput  neech  
ek  ambashth  kayasth  ne  kaha  
ki  hum  ambashth  jo  hote  hain  
we  kayasthon  mein  sarwashreshth  hote  hain  
aur  baqi  kayasth  nimn  
ek  bhagat  kalbar  ne  kaha  
ki  hum  bhagat  jo  hote  hain  
we  kalbaron  mein  sarwashreshth  hote  hain  
aur  baqi  kalbar  antyaj  
ek  krishnayat  yadaw  ne  kaha  
ki  hum  krishnayat  jo  hote  hain  
we  yadwon  mein  sarwashreshth  hote  hain  
aur  baqi  yadaw  kamin  
ek  awadhiya  kurmi  ne  kaha  
ki  hum  awadhiya  jo  hote  hain  
we  kurmiyon  mein  sarwashreshth  hote  hain  
aur  baqi  kurmi  chanDal  
ek  maury  koyri  ne  kaha  
ki  hum  maury  jo  hote  hain  
we  koyariyon  mein  sarwashreshth  hote  hain  
aur  baqi  koyri  agyat  kulhin  
ek  baliyan  jat  ne  kaha  
ki  hum  baliyan  jo  hote  hain  
we  jaton  mein  sarwochch  kulotpann  hote  hain  
aur  baqi  jat  shudratishudr  
ek  nagar  gurjar  ne  kaha  
ki  hum  nagar  jo  hote  hain  
we  gurjron  mein  sarwashreshth  hote  hain  
aur  baqi  gurjar  achhut  
ek  rawidasiye  chamar  ne  kaha  
ki  hum  rawidasiye  jo  hote  hain  
we  chamaron  mein  brahman  hote  hain  
aur  baqi  chamar  asprishy  
ek  madheshi  paswan  ne  kaha  
ki  hum  madheshi  jo  hote  hain  
we  paswanon  mein  rajput  hote  hain  
aur  baqi  paswan  pichhDe  
ek  nawariya  khatik  ne  kaha  
ki  hum  nawariya  jo  hote  hain  
we  khatikon  ke  raja  hote  hain  
aur  baqi  khatik  unki  praja  
ek  kisku  adiwasi  ne  kaha  
ki  hum  kisku  jo  hote  hain  
we  adiwasiyon  mein  sher  hote  hain  
aur  baqi  adiwasi  gidaD  
jis  desh  ko  
itni  jatiyon  aur  upjatiyon  mein  
bant  diya  gaya  ho  
aur  jahan  par  
ek  hi  jati  ke  kuch  log  
apne  ko  sarwashreshth  aur  sabse  baDa  batate  hon  
aur  apne  hi  bhai  bandhuon  ko  adham  aur  neech  
uske  liye  
bharat  kya  khak  sarwashreshth  aur  sabse  baDa  hoga!  
ek  shrotriy  brahman  ne  kaha  
ki  hum  shrotriy  jo  hote  hain  
we  brahmnon  mein  sarwashreshth  hote  hain  
aur  baqi  brahman  shoodr  
ek  wats  bhumihar  ne  kaha  
ki  hum  wats  jo  hote  hain  
we  bhumiharon  mein  sarwashreshth  hote  hain  
aur  baqi  bhumihar  adham  
ek  chauhan  rajput  ne  kaha  
ki  hum  chauhan  jo  hote  hain  
we  rajputon  mein  sabse  baDe  hote  hain  
aur  baqi  rajput  neech  
ek  ambashth  kayasth  ne  kaha  
ki  hum  ambashth  jo  hote  hain  
we  kayasthon  mein  sarwashreshth  hote  hain  
aur  baqi  kayasth  nimn  
ek  bhagat  kalbar  ne  kaha  
ki  hum  bhagat  jo  hote  hain  
we  kalbaron  mein  sarwashreshth  hote  hain  
aur  baqi  kalbar  antyaj  
ek  krishnayat  yadaw  ne  kaha  
ki  hum  krishnayat  jo  hote  hain  
we  yadwon  mein  sarwashreshth  hote  hain  
aur  baqi  yadaw  kamin  
ek  awadhiya  kurmi  ne  kaha  
ki  hum  awadhiya  jo  hote  hain  
we  kurmiyon  mein  sarwashreshth  hote  hain  
aur  baqi  kurmi  chanDal  
ek  maury  koyri  ne  kaha  
ki  hum  maury  jo  hote  hain  
we  koyariyon  mein  sarwashreshth  hote  hain  
aur  baqi  koyri  agyat  kulhin  
ek  baliyan  jat  ne  kaha  
ki  hum  baliyan  jo  hote  hain  
we  jaton  mein  sarwochch  kulotpann  hote  hain  
aur  baqi  jat  shudratishudr  
ek  nagar  gurjar  ne  kaha  
ki  hum  nagar  jo  hote  hain  
we  gurjron  mein  sarwashreshth  hote  hain  
aur  baqi  gurjar  achhut  
ek  rawidasiye  chamar  ne  kaha  
ki  hum  rawidasiye  jo  hote  hain  
we  chamaron  mein  brahman  hote  hain  
aur  baqi  chamar  asprishy  
ek  madheshi  paswan  ne  kaha  
ki  hum  madheshi  jo  hote  hain  
we  paswanon  mein  rajput  hote  hain  
aur  baqi  paswan  pichhDe  
ek  nawariya  khatik  ne  kaha  
ki  hum  nawariya  jo  hote  hain  
we  khatikon  ke  raja  hote  hain  
aur  baqi  khatik  unki  praja  
ek  kisku  adiwasi  ne  kaha  
ki  hum  kisku  jo  hote  hain  
we  adiwasiyon  mein  sher  hote  hain  
aur  baqi  adiwasi  gidaD  
jis  desh  ko  
itni  jatiyon  aur  upjatiyon  mein  
bant  diya  gaya  ho  
aur  jahan  par  
ek  hi  jati  ke  kuch  log  
apne  ko  sarwashreshth  aur  sabse  baDa  batate  hon  
aur  apne  hi  bhai  bandhuon  ko  adham  aur  neech  
uske  liye  
bharat  kya  khak  sarwashreshth  aur  sabse  baDa  hoga!  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : पंकज चौधरी 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.