वो सब कुछ ले सकते हैं
आवाज़ दबा सकते हैं
किताबें जला सकते हैं
नाम मिटा सकते हैं
सड़कों पर डर फैला सकते हैं
रातों को लंबा कर सकते हैं
लेकिन वो नहीं ले सकते
वो बात जो मेरी माँ ने
मेरे कान में कही थी
वो नहीं ले सकते वो हँसी
जो मेरे बच्चे के चेहरे पर है
सुबह उठते वक़्त
वो नहीं ले सकते वो याददाश्त
जो मेरी हड्डियों में है
किसने लड़ा किसने बचाया
किसने मरते हुए भी
झुकने से मना किया
और वो नहीं ले सकते
यह हाथ जो रोटी बेलता है
जो बच्चे को थामता है
जो अँधेरे में दीया जलाता है
जो आज यह कविता लिख रहा है
सत्ता बड़ी है
लेकिन
ज़िंदगी
सत्ता से बड़ी होती है
हमेशा मैंने कहा
सब ख़त्म नहीं हुआ
मैं यहाँ हूँ तुम यहाँ हो
हम यहाँ हैं
और यही काफ़ी है
शुरुआत के लिए
wo sab kuch le sakte hain
avaz daba sakte hain
kitaben jala sakte hain
naam mita sakte hain
saDkon par Dar phaila sakte hain
raton ko lamba kar sakte hain
lekin wo nahin le sakte
wo baat jo meri maan ne
mere kaan mein kahi thi
wo nahin le sakte wo hansi
jo mere bachche ke chehre par hai
subah uthte vaqt
wo nahin le sakte wo yadadasht
jo meri haDDiyon mein hai
kisne laDa kisne bachaya
kisne marte hue bhi
jhukne se mana kiya
aur wo nahin le sakte
ye haath jo roti belta hai
jo bachche ko thamta hai
jo andhere mein diya jalata hai
jo aaj ye kavita likh raha hai
satta baDi hai
lekin
zindagi
satta se baDi hoti hai
hamesha mainne kaha
sab khatm nahin hua
main yahan hoon tum yahan ho
hum yahan hain
aur yahi kafi hai
shuruat ke liye
wo sab kuch le sakte hain
avaz daba sakte hain
kitaben jala sakte hain
naam mita sakte hain
saDkon par Dar phaila sakte hain
raton ko lamba kar sakte hain
lekin wo nahin le sakte
wo baat jo meri maan ne
mere kaan mein kahi thi
wo nahin le sakte wo hansi
jo mere bachche ke chehre par hai
subah uthte vaqt
wo nahin le sakte wo yadadasht
jo meri haDDiyon mein hai
kisne laDa kisne bachaya
kisne marte hue bhi
jhukne se mana kiya
aur wo nahin le sakte
ye haath jo roti belta hai
jo bachche ko thamta hai
jo andhere mein diya jalata hai
jo aaj ye kavita likh raha hai
satta baDi hai
lekin
zindagi
satta se baDi hoti hai
hamesha mainne kaha
sab khatm nahin hua
main yahan hoon tum yahan ho
hum yahan hain
aur yahi kafi hai
shuruat ke liye
स्रोत :
रचनाकार : ज्योति शर्मा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.