दीवार  खड़ी  करने  से  बहुत-सी  चीज़ें  बाहर  रह  जाती  हैं  
यद्यपि  यह  ठीक  है  कि  
दीवार  अच्छी  भी  बन  सकती  है  /  उस  पर  लताएँ  चढ़  सकती  हैं  
यद्यपि  यह  ठीक  है  कि  
दीवार  के  अंदर  का  सबकुछ  अपना  होता  है  
सुरक्षित  रहता  है  
दीवार  शायद  अत्यावश्यक  है  
जैसे  कि  देवता  है  वह  
लेकिन  दीवार  सिर्फ़  दीवार  है  
वह  आकाश  नहीं  छू  सकती  
और,  अंदर  आने  वाले  तो  उसे  उलाँघते  भी  हैं  
और,  दीवार  ढह  भी  सकती  है।  
पर  आजकल  शहर  की  सड़कें  बच्चों  के  लिए  नहीं  होतीं  
और  आजकल  आदमी  को,  आदमी  से  ही  अपने  को  अलग  करना  पड़ता  है  
दीवार  के  संबंध  में  जितना  भी  खेद  प्रकट  करूँ...  
मैं  खड़ा  करता  हूँ  उसे  
(दीवार  शायद  सबसे  अप्रिय  आवश्यकता  है)  
शायद  इस  जमाने  में  हम  दीवार  की  ज़रूरत  मिटाने  के  लिए  
दीवार  खड़ी  करते  हैं  
हम  दीवार  के  विरुद्ध  दीवार  खड़ी  करते  हैं  
(लेकिन)  खड़ी  करते  हैं,  खड़ी  करते  हैं  
यद्यपि  दीवार  खड़ी  करने  के  बाद  बहुत  कम  अंदर  रह  पाता  है  
(लेकिन  सब  चीज़,  सबसे  ज़्यादा  आवश्यक  युग  भी  अंदर  नहीं  रह  पाता)  
दीवार,  पुरुष-जैसी  दीवार,  
सिर  पटकने  के  लिए  भी  ठीक  दीवार।  
             
                diwar  khaDi  karne  se  bahut  si  cheez  bahar  rah  jati  hain  
yadyapi  ye  theek  hai  ki  
diwar  achchhi  bhi  ban  sakti  hai/us  par  latayen  chaDh  sakti  hain  
yadyapi  ye  theek  hai  ki  
diwar  ke  andar  ka  sabkuchh  apna  hota  hai  
surakshait  rahta  hai  
diwar  shayad  atyawashyak  hai  
jaise  ki  dewta  hai  wo  
lekin  diwar  sirf  diwar  hai  
wo  akash  nahin  chhu  sakti  
aur,  andar  anewale  to  use  ulanghate  bhi  hain  
aur,  diwar  Dah  bhi  sakti  hai  
par  ajkal  shahr  ki  saDken  bachchon  ke  liye  nahin  hotin  
aur  ajkal  adami  ko,  adami  se  hi  apne  ko  alag  karna  paDta  hai  
diwar  ke  sambandh  mein  jitna  bhi  khed  prakat  karun  
main  khaDa  karta  hoon  use  
(diwar  shayad  sabse  apriy  awashyakta  hai)  
shayad  is  jamane  mein  hum  diwar  ki  zarurat  mitane  ke  liye  
diwar  khaDi  karte  hain  
hum  diwar  ke  wiruddh  diwar  khaDi  karte  hain  
(lekin)  khaDi  karte  hain,  khaDi  karte  hain  
yadyapi  diwar  khaDi  karne  ke  baad  bahut  kam  andar  rah  pata  hai  
(lekin  sab  cheez,  sabse  zyada  awashyak  yug  bhi  andar  nahin  rah  pata)  
diwar,  purush—jaisi  diwar,  
sir  patakne  ke  liye  bhi  theek  diwar  

        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : नेपाली कविताएँ (पृष्ठ 47) 
                                            संपादक  : सर्वेश्वरदयाल सक्सेना  
                                                रचनाकार  : वासुशशी  
                                            
                             प्रकाशन  : राजकमल प्रकाशन
                         
                                                संस्करण   : 1982 
                 
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.