चालीस  प्रतिशत  लोगों  ने  वोट  नहीं  डाला  
इनमें  अधिकांश  चाहते  तो  वोट  डालते  
उन्हें  लगा  इससे  क्या  होगा  
या  उन्होंने  इसके  बारे  में  कुछ  सोचा  ही  नहीं  
साठ  प्रतिशत  लोगों  की  निर्वाचन  क़वायद  से  जो  सांसद  निकले  
वे  तेईस  प्रतिशत  के  समर्थन  से  बने  
सैंतीस  प्रतिशत  लोगों  ने  किसी  और  को  वोट  दिया  
और  जिसे  जनादेश  माना  गया  
चालीस  प्रतिशत  लोग  उससे  बाहर  कहीं  रहते  थे  
इस  तरह  जिन  लोकनिरपेक्ष  नुमाइंदों  की  संसद  बनी  
सतहत्तर  प्रतिशत  लोग  उनसे  निरपेक्ष  थे  
पच्चीस  प्रतिशत  सांसद  लेकर  जो  सबसे  बड़ी  पार्टी  उभरी  
उसने  अन्य  पार्टियों  का  
जो  चुनाव  में  उसकी  मुख़ालफ़त  करती  थीं  
बाहर  से  समर्थन  प्राप्त  किया  
और  इसके  लिए  जनता  से  नहीं  पूछा  जा  सका  क्योंकि  यह  संभव  नहीं  था  
सबसे  बड़ी  पार्टी  का  जिन  पार्टियों  ने  समर्थन  किया  
उन्होंने  यह  स्पष्ट  किया  
कि  उनका  सबसे  बड़ी  पार्टी  से  कोई  सैद्धांतिक  मेल  नहीं  है  
लेकिन  सरकार  चलाने  के  लिए  
वे  सबसे  बड़ी  पार्टी  को  बाहर  से  चलाएँगी  
इसके  लिए  जनता  से  नहीं  पूछा  जा  सका  क्योंकि  यह  संभव  नहीं  था  
सबसे  बड़ी  पार्टी  में  जो  सबसे  कांइयाँ  नेता  था  
उसे  सबसे  बड़ा  ख़तरा  लोगों  से  रहा  
सो  उसने  प्रधान  पद  के  लिए  गुप्त  मतदान  का  
सबसे  ज़्यादा  विरोध  किया  
इसके  लिए  भी  जनता  से  नहीं  पूछा  जा  सका  क्योंकि  यह  संभव  नहीं  था  
जिन्होंने  व्यावहारिक  तौर  पर  लोकतंत्र  की  जड़ें  कुरेदीं  
उन्होंने  सैद्धांतिक  तौर  पर  उसका  समर्थन  किया  
और  जिन्होंने  सैद्धांतिक  तौर  पर  लोकतंत्र  की  जड़ें  कुरेदीं  
उन्होंने  व्यावहारिक  तौर  पर  उसकी  माँग  में  धरना  दिया  
फिर  कुछ  दार्शनिक  दिक़्क़तें  राजधानी  में  रहीं  
जिन्हें  लोकनिरपेक्ष  शक्तियों  ने  साफ़  किया  
बाहरी  ताक़तों  से  सर्वसम्मत  निर्वाचन  
और  संदिग्ध  ताक़तों  से  गठन  हुआ  
सबसे  बड़े  पद  पर  
सबसे  भयभीत  आदमी  बैठा  
सबसे  भयभीत  आदमी  ने  सबसे  भयभीत  मंत्रिमंडल  चुना  
और  इस  तरह  तेईस  फ़ीसदी  के  नुमाइंदों  से  
ऐसी  भयभीत  सरकार  निकली  
जिसने  एक  मज़बूत  लोकतंत्र  का  बाहर  से  समर्थन  किया।  
                chalis  pratishat  logon  ne  wote  nahin  Dala  
inmen  adhikansh  chahte  to  wote  Dalte  
unhen  laga  isse  kya  hoga  
ya  unhonne  iske  bare  mein  kuch  socha  hi  nahin  
sath  pratishat  logon  ki  nirwachan  qawayad  se  jo  sansad  nikle  
we  teis  pratishat  ke  samarthan  se  bane  
saintis  pratishat  logon  ne  kisi  aur  ko  wote  diya  
aur  jise  janadesh  mana  gaya  
chalis  pratishat  log  usse  bahar  kahin  rahte  the  
is  tarah  jin  lokanirpeksh  numaindon  ki  sansad  bani  
sathattar  pratishat  log  unse  nirpeksh  the  
pachchis  pratishat  sansad  lekar  jo  sabse  baDi  party  ubhri  
usne  any  partiyon  ka  
jo  chunaw  mein  uski  mukhalafat  karti  theen  
bahar  se  samarthan  prapt  kiya  
aur  iske  liye  janta  se  nahin  puchha  ja  saka  kyonki  ye  sambhaw  nahin  tha  
sabse  baDi  party  ka  jin  partiyon  ne  samarthan  kiya  
unhonne  ye  aspasht  kiya  
ki  unka  sabse  baDi  party  se  koi  saiddhantik  mel  nahin  hai  
lekin  sarkar  chalane  ke  liye  
we  sabse  baDi  party  ko  bahar  se  chalayengi  
iske  liye  janta  se  nahin  puchha  ja  saka  kyonki  ye  sambhaw  nahin  tha  
sabse  baDi  party  mein  jo  sabse  kaniyan  neta  tha  
use  sabse  baDa  khatra  logon  se  raha  
so  usne  pardhan  pad  ke  liye  gupt  matdan  ka  
sabse  zyada  wirodh  kiya  
iske  liye  bhi  janta  se  nahin  puchha  ja  saka  kyonki  ye  sambhaw  nahin  tha  
jinhonne  wyawaharik  taur  par  loktantr  ki  jaDen  kuredin  
unhonne  saiddhantik  taur  par  uska  samarthan  kiya  
aur  jinhonne  saiddhantik  taur  par  loktantr  ki  jaDen  kuredin  
unhonne  wyawaharik  taur  par  uski  mang  mein  dharna  diya  
phir  kuch  darshanik  diqqten  rajdhani  mein  rahin  
jinhen  lokanirpeksh  shaktiyon  ne  saf  kiya  
bahari  taqton  se  sarwasammat  nirwachan  
aur  sandigdh  taqton  se  gathan  hua  
sabse  baDe  pad  par  
sabse  bhaybhit  adami  baitha  
sabse  bhaybhit  adami  ne  sabse  bhaybhit  mantrimanDal  chuna  
aur  is  tarah  teis  fisadi  ke  numaindon  se  
aisi  bhaybhit  sarkar  nikli  
jisne  ek  mazbut  loktantr  ka  bahar  se  samarthan  kiya  

        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : संजय चतुर्वेदी 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.