सो जाओ मेरे बेटे ग्रापा की चादरों के बीच
मैं तुम्हारी हिफ़ाज़त करूँगा चाहे ख़र्च हो जाए पूरी बोतल
मृत्यु से घिरा है ये मकान
और घंटी तो वो बजाएगी नहीं
या दस्तक देगी अंदर आने के लिए मृत्यु
एक बुरी प्रेमिका है इन दिनों तुम्हें जीना है उसके साथ
तुम्हें मरना है उसके साथ इन दिनों
तुम्हारा चेहरा एक दमक है मेरे बेटे रात में
जल्लादों की रात में एक चमक
है तुम्हारा चेहरा मेरे बेटे एक चमक
और मैं जीता हूँ और मरता हूँ इसके साथ इन दिनों
मेरे बेटे जल्लादों की इस रात में और
मुझे यकीन है कराहों की स्पष्टता पर
उस प्रकाश की स्पष्टता पर जो गिरता है सिसकियों से
वो स्पष्टता जो गिरती है पिटी हुई देह से
सतायी गई मार दी गई जो स्पष्टता
गिरती है तुम्हारे चेहरे से या वो चमक
इस लंबी रात में और वो बिस्तर जिसपर मैं लेटता हूँ
लोहे की चादरों के बीच
बिना सोये मैं सोता हूँ तुम सोते हो वो सोता है।
so jao mere bete grapa ki chadron ke beech
main tumhari hifazat karunga chahe kharch ho jaye puri botal
mrityu se ghira hai ye makan
aur ghanti to wo bajayegi nahin
ya dastak degi andar aane ke liye mrityu
ek buri premika hai in dinon tumhein jina hai uske saath
tumhein marna hai uske saath in dinon
tumhara chehra ek damak hai mere bete raat men
jalladon ki raat mein ek chamak
hai tumhara chehra mere bete ek chamak
aur main jita hoon aur marta hoon iske saath in dinon
mere bete jalladon ki is raat mein aur
mujhe yakin hai karahon ki spashtata par
us parkash ki spashtata par jo girta hai sisakiyon se
wo spashtata jo girti hai piti hui deh se
satayi gai maar di gai jo spashtata
girti hai tumhare chehre se ya wo chamak
is lambi raat mein aur wo bistar jispar main letta hoon
lohe ki chadron ke beech
bina soye main sota hoon tum sote ho wo sota hai.

स्रोत :
पुस्तक : सूखी नदी पर ख़ाली नाव (पृष्ठ 400)
संपादक : वंशी माहेश्वरी
रचनाकार : युआन गेलमान
प्रकाशन : संभावना प्रकाशन
संस्करण : 2020
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.