पहाड़ों  पर  नहीं  है  
सिर्फ़  चिड़िया  के  चहकने  की  आवाज़  
यहाँ  खाई  से  उठती  वह  चीख़  भी  है  
जिसके  पाँव  तले  से  बारिश  
चुरा  ले  गई  थी  सारा  पहाड़  
उस  बच्ची  के  क़दमों  के  नीचे  
सूखी  लकड़ियों  के  चटकने  की  आवाज़ें  
जिन्हें  घर  पहुँच  
दाल  में  उबलते  बुलबुलों  की  आवाज़  बनना  था  
बचाव  अभियान  में  बिलखते  सायरन  बन  गई  हैं  
कान  लगाकर  सुनो  
बादल  की  धमकियों  
और  बारिश  के  तीरों  के  अलावा  
कितनी  आवाज़ें  हैं  
इस  त्रासदी  का  मनहूस  पार्श्व-संगीत?  
इन  मशीनों  की  हँसी  
जो  दाँत  चियारती  खड़ी  हैं  पहाड़ों  के  आगे,  
ये  आरियाँ  
जो  जंगल  को  दड़बा  मान  चुकी  हैं  
ग्राहकों  के  आदेश  पर  उठा  कर  ले  जाती  हैं  कुछ  पेड़  
पीछे  छोड़ती  उनकी  फड़फड़ाहट,  
इन्हें  जोड़ो!  
अब  बताओ  भला  
कितनी  आवाज़ों  के  मिलने  पर  
कुछ  चीख़-सा  सुनाई  देता  है?  
अनजान  नहीं  हूँ  इस  विरोधाभास  से  कि  
जो  पहाड़ों  को  ज़हर  है  
वही  है  उनका  निवाला  भी  
पर  बिम्ब-विधान  बदलो  
पहाड़ों  से  झरने  फिसलने  की  आवाज़  
जो  तुम्हें  आकर्षित  कर  रही  है  
संभव  है  वह  मजबूरी  में  
पानी  के  पत्थर  पर  सिर  पटकने  की  आवाज़  हो!  
             
                pahaDon  par  nahin  hai  
sirf  chiDiya  ke  chahakne  ki  awaz  
yahan  khai  se  uthti  wo  cheekh  bhi  hai  
jiske  panw  tale  se  barish  
chura  le  gai  thi  sara  pahaD  
us  bachchi  ke  qadmon  ke  niche  
sukhi  lakaDiyon  ke  chatakne  ki  awazen  
jinhen  ghar  pahunch  
dal  mein  ubalte  bulabulon  ki  awaz  banna  tha  
bachaw  abhiyan  mein  bilakhte  sayran  ban  gai  hain  
kan  lagakar  suno  
badal  ki  dhamakiyon  
aur  barish  ke  tiron  ke  alawa  
kitni  awazen  hain  
is  trasadi  ka  manhus  parshw  sangit?  
in  mashinon  ki  hansi  
jo  dant  chiyarti  khaDi  hain  pahaDon  ke  aage,  
ye  ariyan  
jo  jangal  ko  daDba  man  chuki  hain  
grahkon  ke  adesh  par  utha  kar  le  jati  hain  kuch  peD  
pichhe  chhoDti  unki  phaDphaDahat,  
inhen  joDo!  
ab  batao  bhala  
kitni  awazon  ke  milne  par  
kuch  cheekh  sa  sunai  deta  hai?  
anjan  nahin  hoon  is  wirodhabhas  se  ki  
jo  pahaDon  ko  zahr  hai  
wahi  hai  unka  niwala  bhi  
par  bimb  widhan  badlo  
pahaDon  se  jharne  phisalne  ki  awaz  
jo  tumhein  akarshait  kar  rahi  hai  
sambhaw  hai  wo  majburi  mein  
pani  ke  patthar  par  sir  patakne  ki  awaz  ho!  
pahaDon  par  nahin  hai  
sirf  chiDiya  ke  chahakne  ki  awaz  
yahan  khai  se  uthti  wo  cheekh  bhi  hai  
jiske  panw  tale  se  barish  
chura  le  gai  thi  sara  pahaD  
us  bachchi  ke  qadmon  ke  niche  
sukhi  lakaDiyon  ke  chatakne  ki  awazen  
jinhen  ghar  pahunch  
dal  mein  ubalte  bulabulon  ki  awaz  banna  tha  
bachaw  abhiyan  mein  bilakhte  sayran  ban  gai  hain  
kan  lagakar  suno  
badal  ki  dhamakiyon  
aur  barish  ke  tiron  ke  alawa  
kitni  awazen  hain  
is  trasadi  ka  manhus  parshw  sangit?  
in  mashinon  ki  hansi  
jo  dant  chiyarti  khaDi  hain  pahaDon  ke  aage,  
ye  ariyan  
jo  jangal  ko  daDba  man  chuki  hain  
grahkon  ke  adesh  par  utha  kar  le  jati  hain  kuch  peD  
pichhe  chhoDti  unki  phaDphaDahat,  
inhen  joDo!  
ab  batao  bhala  
kitni  awazon  ke  milne  par  
kuch  cheekh  sa  sunai  deta  hai?  
anjan  nahin  hoon  is  wirodhabhas  se  ki  
jo  pahaDon  ko  zahr  hai  
wahi  hai  unka  niwala  bhi  
par  bimb  widhan  badlo  
pahaDon  se  jharne  phisalne  ki  awaz  
jo  tumhein  akarshait  kar  rahi  hai  
sambhaw  hai  wo  majburi  mein  
pani  ke  patthar  par  sir  patakne  ki  awaz  ho!  
 
             
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : शुभम नेगी  
                                            
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.