हे  भाव  भागीरथी!  शोभामयी  तुम्हारी  संपूर्ण  मूर्ति  ने  
मेरे  हृदय  की  मलिनता  को  दूर  कर  दिया  है  
तुम्हारे  मधुर  विन्यास  में  मुझे  एक  
सुंदर  स्वर्ग  की  झलक  मिली  है  
ईश्वर-सान्निध्य  की  आशा  करके  मैं  
अपने  जीवन  के  चरम  अध्यायों  को  स्वेच्छापूर्वक  समाप्त  करूँगा।  
हे  माते!  भाव  भागीरथि।  तुम्हारा  जन्म-स्थान  
उन्नतोन्नत  हिमालय  पर्वत  है  
मैदान  में  उतरकर  तुम  बहती  हो,  
तुम्हारे  जल-प्रवाह  को  रास्ते  में  पड़ने  वाले  काँटें  भी  नहीं  रोक  
सकते  
संयमी  ही  तुम्हारे  जल  की  गहराई  में  अवगाहन  कर  सकते  हैं।  
हे  माते  भाव  भागीरथि!  तुम  शिवजी  के  सिर  पर  भी  पाँव  रखकर  
बह  जाती  हो।  संसार  तुम्हारे  कारण  सस्य  श्यामल  होता  है  
तुम्हारा  कार्य  सर्वजनसम्मत  है  
तुम्हारा  परिष्वंग  अद्भुत  है  और  किसी  उत्तम  लोक  का  दर्शन  
कराने  वाला  है  
तुम्हारी  लीलाएँ  प्रशंसनीय  हैं।  
हे  भाव  भागीरथि!  भक्ति-प्रपूर्ण  हृदयों  से  सभी  सज्जन  
तुम्हारी  उपासना  करते  हैं  
आगम-सूक्तियों  को  प्रकाशित  करने  वाली  तुम्हारी  वीचियाँ  
हृदयंगम  ध्वनि  कर  रही  है  
संसार  के  श्रम-पूर्ण  जीवन  में  तुम्हारे  शीतल  सहवास  का  
सुख  अमृत-सार  के  सदृश  मानता  हूँ  
हे  माँ!  तुम  प्रार्थियों  को  बहुत-सी  
रहस्यपूर्ण  बातें  सुनाती  हो।  
हे  ज्ञान  और  आनंद  रस  रूपी  भूषण  समान  रूप  से  
धारण  करने  वाली  भाव-भागीरथि!  
तुम्हारी  निर्मलता  को  देखकर  तृष्णा  पीड़ित  व्यक्ति  
अपने  हृदय  को  बहुत  पवित्र  करके  उसे  प्रेम  रस  संदेह  से  भर  
लेता  है  
अपनी  इस  साधना  में  तीर्थ-यात्री  होकर  नाना  नदियों  को  पार  
कर  लेता  है।  
                bhagirathi!  shobhamyi  tumhari  sampurn  murti  ne  
mere  hirdai  ki  malinta  ko  door  kar  diya  hai.  
tumhare  madhur  vinyas  mein  mujhe  ek  
sundar  svarg  ki  jhalak  mili  hai.  
ishvar  sannidhy  ki  aasha  karke  main  
apne  jivan  ke  charam  adhyayon  ko  svechchha  purvak  samapt  karunga.  
he  mate!  bhaav  bhagirath.  tumhara  janm  sthaan  
unntonnat  himale  parvat  hai.  
maidan  mein  utarkar  tum  bahti  ho,  
tumhare  jal  pravah  ko  raste  mein  paDne  vale  kanten  bhi  nahin  rok  
sakte.  
sanymi  hi  tumhare  jal  ki  gahrai  mein  avgahan  kar  sakte  hai.  
he  mate  bhaav  bhagirath!  tum  shivji  ke  sir  par  bhi  paanv  rakhkar  
bah  jati  ho.  sansar  tumhare  karan  sasy  shyamal  hota  hai.  
tumhara  kaary  sarvajansammat  hai.  
tumhara  parishvang  adbhut  hai  aur  kisi  uttam  lok  ka  darshan  
karane  vala  hai.  
tumhari  lilayen  prashansniy  hain.  
he  bhaav  bhagirath!  bhakti  prapurn  hridyon  se  sabhi  sajjan  
tumhari  upasna  karte  hain.  
aagam  suktiyon  ko  prakashit  karne  vali  tumhari  vichiyan  
hridayangam  dhvani  kar  rahi  hai.  
sansar  ke  shram  poorn  jivan  mein  tumhare  shital  sahvas  ka  
sukh  amrit  saar  ke  sadrish  manata  hoon.  
maan!  tum  prarthiyon  ko  bahut  si  
rahasyapurn  baten  sunati  ho.  
he  gyaan  aur  anand  ras  rupi  bhushan  saman  roop  se  
dharan  karne  vali  bhaav  bhagirath!  
tumhari  nirmalta  ko  dekhkar  tirishna  piDit  vekti  
apne  hirdai  ko  bahut  pavitra  karke  use  prem  ras  sandeh  se  bhar  
leta  hai.  
apni  is  sadhana  mein  teerth  yatri  hokar  nana  nadiyon  ko  paar  
kar  leta  hai.  

        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : भारतीय कविता 1954-55 (पृष्ठ 425)रचनाकार  : श्रीनिवासमूर्ति बेल्लूरि 
                             प्रकाशन  : साहित्य अकादेमी
                         
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.