वैसे तो सूना पड़ा रहता है यह बंदरगाह
जैसे हो कोई निर्जन कोठार धान रखने का
पर बदल जाता है हवा का रुख़
कुछ दिन पहले से ही
जब आने वाला होता है यहाँ कोई जहाज़।
बहुत बड़ा नहीं है यह बंदरगाह
पर इतना छोटा भी नहीं कि
न दे सके सपने
यहाँ रहती स्त्रियों को।
इंतज़ार रहता है इन्हें जहाज़ का
जिसमें आते हैं इनके सौंदर्य प्रसाधन
और कुछ पुरुष।
खींच लेता है जहाज पूरे गाँव को
अपने अवैध प्रभाव में।
बंदरगाह पर जहाज़ का आना
जैसे किसी विशालकाय मृत मछली का
पानी की लहरों के साथ
किनारे तक बहते चले आना।
बहुत भ्रामक होती है
मृत मछली की शांति
ठीक इस भूले बिसरे बंदरगाह की तरह
जहाँ जहाज़ के कमरों में क़ैद रखा रहता है
एक अशांत, नौजवान समुद्र।
vaise to suna paDa rahta hai ye bandargah
jaise ho koi nirjan kothar dhaan rakhne ka
par badal jata hai hava ka rukh
kuch din pahle se hi
jab aane vala hota hai yahan koi jahaz.
bahut baDa nahin hai ye bandargah
par itna chhota bhi nahin ki
na de sake sapne
yahan rahti striyon ko.
intzaar rahta hai inhen jahaz ka
jismen aate hain inke saundarya prasadhan
aur kuch purush.
kheench leta hai jahaj pure gaanv ko
apne avaidh prabhav mein.
bandargah par jahaz ka aana
jaise kisi vishalakay mrit machhli ka
pani ki lahron ke saath
kinare tak bahte chale aana.
bahut bhramak hoti hai
mrit machhli ki shanti
theek is bhule bisre bandargah ki tarah
jahan jahaz ke kamron mein qaid rakha rahta hai
ek ashant, naujavan samudr.
vaise to suna paDa rahta hai ye bandargah
jaise ho koi nirjan kothar dhaan rakhne ka
par badal jata hai hava ka rukh
kuch din pahle se hi
jab aane vala hota hai yahan koi jahaz.
bahut baDa nahin hai ye bandargah
par itna chhota bhi nahin ki
na de sake sapne
yahan rahti striyon ko.
intzaar rahta hai inhen jahaz ka
jismen aate hain inke saundarya prasadhan
aur kuch purush.
kheench leta hai jahaj pure gaanv ko
apne avaidh prabhav mein.
bandargah par jahaz ka aana
jaise kisi vishalakay mrit machhli ka
pani ki lahron ke saath
kinare tak bahte chale aana.
bahut bhramak hoti hai
mrit machhli ki shanti
theek is bhule bisre bandargah ki tarah
jahan jahaz ke kamron mein qaid rakha rahta hai
ek ashant, naujavan samudr.
स्रोत :
रचनाकार : मनीषा जोषी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.