बाँस की देह में समाया रहता है
एक के पीछे एक चले आ रहे अनगिनत
वर्षों का दर्शनसार
उनकी जड़ों से प्रत्यय की तरह जुड़ी रहती है
बूढ़ी हथेलियों की छाया
उलीचती रहती हैं एक प्राचीन असीस
ऊँचे उठो... टिके रहो...
झुक-झुक जाने और गिरना न जानने वाले
बाँस के खोखलेपन से
फूटती हैं बाँसुरी की धुनें
जो मन के राग-विराग को लय में ढाल कर
अनंत अंतरिक्ष में सहस्त्रों प्रकाशवर्ष तक पहुँचती हैं
अपने हरेपन में बाँस मंडपों में घोलते मांगल्य
शुभकामनाओं की स्निग्ध छाँह
और सूख कर सुलगा देते
जंगलों में अनल का निठुर आतंक
अंदर समाई तीक्ष्णता के बूते
वे साधते हैं निशाना भेदक
बाण की नोक पर सध कर
हम भी थोड़े बाँस हों
इतने हल्के कि हवा हमें गा सके
ऊँचाइयाँ देखें हमारी झुकने की गरिमा
मजबूती से पाथेय बनें आँधियों के स्खलन का
और जब जलें
तो अँधेरों के विरुद्ध।
baans ki deh mein samaya rahta hai
ek ke pichhe ek chale aa rahe anaginat
varshon ka darshansar
unki jaDon se pratyay ki tarah juDi rahti hai
buDhi hatheliyon ki chhaya
ulichti rahti hain ek prachin asis
uunche utho. . . tike raho. . .
jhuk jhuk jane aur girna na janne vale
baans ke khokhlepan se
phutti hain bansuri ki dhunen
jo man ke raag virag ko lay mein Dhaal kar
anant antriksh mein sahastron prkashvarsh tak pahunchti hain
apne harepan mein baans manDpon mein gholte mangalya
shubhkamnaon ki snigdh chhaanh
aur sookh kar sulga dete
janglon mein anal ka nithur atank
andar samai tikshnta ke bute
ve sadhte hain nishana bhedak
baan ki nok par sadh kar
hum bhi thoDe baans hon
itne halke ki hava hamein ga sake
uunchaiyan dekhen hamari jhukne ki garima
majbuti se pathey banen andhiyon ke skhalan ka
aur jab jalen
to andheron ke viruddh.
baans ki deh mein samaya rahta hai
ek ke pichhe ek chale aa rahe anaginat
varshon ka darshansar
unki jaDon se pratyay ki tarah juDi rahti hai
buDhi hatheliyon ki chhaya
ulichti rahti hain ek prachin asis
uunche utho. . . tike raho. . .
jhuk jhuk jane aur girna na janne vale
baans ke khokhlepan se
phutti hain bansuri ki dhunen
jo man ke raag virag ko lay mein Dhaal kar
anant antriksh mein sahastron prkashvarsh tak pahunchti hain
apne harepan mein baans manDpon mein gholte mangalya
shubhkamnaon ki snigdh chhaanh
aur sookh kar sulga dete
janglon mein anal ka nithur atank
andar samai tikshnta ke bute
ve sadhte hain nishana bhedak
baan ki nok par sadh kar
hum bhi thoDe baans hon
itne halke ki hava hamein ga sake
uunchaiyan dekhen hamari jhukne ki garima
majbuti se pathey banen andhiyon ke skhalan ka
aur jab jalen
to andheron ke viruddh.
स्रोत :
रचनाकार : दीप्ति कुशवाह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.