ओ  मेरी  रूठी  हुई  प्रेयसी,  
शिकायतें  करो  मुझसे  
लड़ो  और  कोसो  उस  लम्हे  को  
जब  गिर  पड़ी  थीं  तुम  मेरे  प्यार  में  
उलाहना  दो  मेरी  नौकरी  को  
मेरी  व्यस्तता  को  दो  कौड़ी  का  कहो  
मेरी  वाहियात  आदतों  और  कमीनगी  की  
पूरी  लिस्ट  तुम्हें  मुँहज़बानी  याद  है  
दुहराओ  
तिहराओ  
मुझे  बारहा  छोड़  देने  की  आतुरता  दिखाओ  
जताओ  कि  इस  रिश्ते  में  रस्सी  का  ज़्यादा  हिस्सा  
तुम्हारी  पकड़  में  है  
ताक़त  भी  तुमने  ही  ज़्यादा  लगा  रखी  है  
कहो  प्रिय,  
जैसे  कहती  रही  हो  अब  तक  
तुम  नहीं  जानतीं  
किसी  लम्हे  में  दुहराए  गए  तीन  लफ़्ज़  नहीं  
ये  उलाहनाएँ  हमारे  रिश्ते  का  ऑक्सीजन  हैं  
लड़ो  मुझसे  
कहो  कुछ  प्लीज़!  
कहने-लड़ने  में  दरअस्ल  होती  है  एक  उम्मीद  
उस  गुंजाइश  की  
जिसमें  प्रेम  की  संभावना  बनी  रहती  है  
बनी  रहने  दो  यह  संभावना  
और  बचा  रहने  दो  यह  भ्रम  भी  कि  
तुम  अब  भी  करती  हो  मुझसे  प्रेम  
एक  संवेदनहीन  पति  के  लिए  यह  सज़ा  ही  बहुत  है  
कि  प्रेम  के  नाम  पर  सिर्फ़  भ्रम  बचा  रहे!  
                o  meri  ruthi  hui  preyasi,  
shikayten  karo  mujhse  
laDo  aur  koso  us  lamhe  ko  
jab  gir  paDi  theen  tum  mere  pyar  mein  
ulahna  do  meri  naukari  ko  
meri  wyastata  ko  do  kauDi  ka  kaho  
meri  wahiyat  adton  aur  kamingi  ki  
puri  list  tumhein  munhzbani  yaad  hai  
duhrao  
tihrao  
mujhe  barha  chhoD  dene  ki  aturta  dikhao  
jatao  ki  is  rishte  mein  rassi  ka  zyada  hissa  
tumhari  pakaD  mein  hai  
taqat  bhi  tumne  hi  zyada  laga  rakhi  hai  
kaho  priy,  
jaise  kahti  rahi  ho  ab  tak  
tum  nahin  jantin  
kisi  lamhe  mein  duhraye  gaye  teen  lafz  nahin  
ye  ulahnayen  hamare  rishte  ka  oxygen  hain  
laDo  mujhse  
kaho  kuch  pleez!  
kahne  laDne  mein  darasl  hoti  hai  ek  ummid  
us  gunjaish  ki  
jismen  prem  ki  sambhawna  bani  rahti  hai  
bani  rahne  do  ye  sambhawna  
aur  bacha  rahne  do  ye  bhram  bhi  ki  
tum  ab  bhi  karti  ho  mujhse  prem  
ek  sanwedanhin  pati  ke  liye  ye  saza  hi  bahut  hai  
ki  prem  ke  nam  par  sirf  bhram  bacha  rahe!  
o  meri  ruthi  hui  preyasi,  
shikayten  karo  mujhse  
laDo  aur  koso  us  lamhe  ko  
jab  gir  paDi  theen  tum  mere  pyar  mein  
ulahna  do  meri  naukari  ko  
meri  wyastata  ko  do  kauDi  ka  kaho  
meri  wahiyat  adton  aur  kamingi  ki  
puri  list  tumhein  munhzbani  yaad  hai  
duhrao  
tihrao  
mujhe  barha  chhoD  dene  ki  aturta  dikhao  
jatao  ki  is  rishte  mein  rassi  ka  zyada  hissa  
tumhari  pakaD  mein  hai  
taqat  bhi  tumne  hi  zyada  laga  rakhi  hai  
kaho  priy,  
jaise  kahti  rahi  ho  ab  tak  
tum  nahin  jantin  
kisi  lamhe  mein  duhraye  gaye  teen  lafz  nahin  
ye  ulahnayen  hamare  rishte  ka  oxygen  hain  
laDo  mujhse  
kaho  kuch  pleez!  
kahne  laDne  mein  darasl  hoti  hai  ek  ummid  
us  gunjaish  ki  
jismen  prem  ki  sambhawna  bani  rahti  hai  
bani  rahne  do  ye  sambhawna  
aur  bacha  rahne  do  ye  bhram  bhi  ki  
tum  ab  bhi  karti  ho  mujhse  prem  
ek  sanwedanhin  pati  ke  liye  ye  saza  hi  bahut  hai  
ki  prem  ke  nam  par  sirf  bhram  bacha  rahe!  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : नाज़िश अंसारी 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.