उत्तरों  की  खोज  में  जो  है  अहर्निश  
प्रश्न  क्या  है  यह  न  उनको  याद  आया  
बेवजह  भाषा  उबलती  जा  रही  है  
और  सब  आशय  अकारण  खो  रहे  हैं  
यों  किसी  ने  रोग  पहचाना  नही  है  
हाँ  मगर,  उपचार  सारे  हो  रहे  हैं।  
एक  मन  की  बात  दूजे  तक  न  पहुँची  
फिर  नहीं  उस  पार  से  संवाद  आया॥  
आज  तक  जो  लग  रही  ढाँढस  बँधाती  
प्राण  में  गहरे  अनिश्चय  बो  गई  जब  
उत्तरों  की  खोज  करती  एक  भाषा  
एक  पल  में  प्रश्नवाचक  हो  गई  जब  
प्रश्न  के  प्रतिप्रश्न  क्षण  में  थे  उपस्थित  
प्रश्न  का  उत्तर  महीनों  बाद  आया॥  
एक  ऐसी  सभ्यता  हैं  हम  कि  जिसने  
प्यास  खोजी  थी  मगर  बादल  न  खोजा  
प्रश्न  के  उलझाव  ने  इतना  डराया  
प्रश्न  पर  ठिठके  मगर  कुछ  हल  न  खोजा  
मूल  में  क्या  था  नहीं  हम  जान  पाए  
हाथ  जो  आया,  महज  अनुवाद  आया॥  
                uttron  ki  khoj  mein  jo  hai  aharnish  
parashn  kya  hai  ye  na  unko  yaad  aaya  
bevajah  bhasha  ubalti  ja  rahi  hai  
aur  sab  ashay  akaran  kho  rahe  hain  
yon  kisi  ne  rog  pahchana  nahi  hai  
haan  magar,  upchaar  sare  ho  rahe  hain.  
ek  man  ki  baat  duje  tak  na  pahunchi  
phir  nahin  us  paar  se  sanvad  aaya॥  
aaj  tak  jo  lag  rahi  DhanDhas  bandhati  
praan  mein  gahre  anishchay  bo  gai  jab  
uttron  ki  khoj  karti  ek  bhasha  
ek  pal  mein  prashnavachak  ho  gai  jab  
parashn  ke  pratiprashn  kshan  mein  the  upasthit  
parashn  ka  uttar  mahinon  baad  aaya॥  
ek  aisi  sabhyata  hain  hum  ki  jisne  
pyaas  khoji  thi  magar  badal  na  khoja  
parashn  ke  uljhaav  ne  itna  Daraya  
parashn  par  thithke  magar  kuch  hal  na  khoja  
mool  mein  kya  tha  nahin  hum  jaan  pae  
haath  jo  aaya,  mahaj  anuvad  aaya॥  
uttron  ki  khoj  mein  jo  hai  aharnish  
parashn  kya  hai  ye  na  unko  yaad  aaya  
bevajah  bhasha  ubalti  ja  rahi  hai  
aur  sab  ashay  akaran  kho  rahe  hain  
yon  kisi  ne  rog  pahchana  nahi  hai  
haan  magar,  upchaar  sare  ho  rahe  hain.  
ek  man  ki  baat  duje  tak  na  pahunchi  
phir  nahin  us  paar  se  sanvad  aaya॥  
aaj  tak  jo  lag  rahi  DhanDhas  bandhati  
praan  mein  gahre  anishchay  bo  gai  jab  
uttron  ki  khoj  karti  ek  bhasha  
ek  pal  mein  prashnavachak  ho  gai  jab  
parashn  ke  pratiprashn  kshan  mein  the  upasthit  
parashn  ka  uttar  mahinon  baad  aaya॥  
ek  aisi  sabhyata  hain  hum  ki  jisne  
pyaas  khoji  thi  magar  badal  na  khoja  
parashn  ke  uljhaav  ne  itna  Daraya  
parashn  par  thithke  magar  kuch  hal  na  khoja  
mool  mein  kya  tha  nahin  hum  jaan  pae  
haath  jo  aaya,  mahaj  anuvad  aaya॥  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : चित्रांश वाघमारे 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.