क्या होली और क्या दिवाली,
है घर अपना खाली खाली,
दो फूल खिले हैं आँगन में,
है करना उनकी रखवाली।
क्या होली और क्या दिवाली॥
फिर सुबह काम पर जाना है,
शाम को लौट के आना है।
बस दो सौ रूपए मजूरी है,
राशन पानी भी लाना है।
भूल रहा हूँ शायद कुछ तो,
हाँ! गुड़िया दो चोटी वाली
क्या होली और क्या दिवाली॥
हाथ पैर में दर्द बहुत है,
धन कम है पर मर्ज़ बहुत है।
जाने कितना ब्याज चुकाना,
सिर पर अपने कर्ज़ बहुत है।
त्यौहारों पर एक तरह की,
साड़ी पहने है घरवाली।
क्या होली और क्या दिवाली॥
जब विकट समय है आन पड़ा
है चौखट पर तूफ़ान खड़ा।
आँखों से बहती है पीड़ा,
पैरों में है सम्मान पड़ा।
मजबूरी ने घरवाली की,
पायल भी गिरवी रख वाली।
क्या होली और क्या दिवाली॥
kya holi aur kya divali,
hai ghar apna khali khali,
do phool khile hain angan mein,
hai karna unki rakhvali.
kya holi aur kya divali॥
phir subah kaam par jana hai,
shaam ko laut ke aana hai.
bas do sau rupe majuri hai,
rashan pani bhi lana hai.
bhool raha hoon shayad kuch to,
haan! guDiya do choti vali
kya holi aur kya divali॥
haath pair mein dard bahut hai,
dhan kam hai par marz bahut hai.
jane kitna byaaj chukana,
sir par apne karz bahut hai.
tyauharon par ek tarah ki,
saDi pahne hai gharvali.
kya holi aur kya divali॥
jab vikat samay hai aan paDa
hai chaukhat par tufan khaDa.
ankhon se bahti hai piDa,
pairon mein hai samman paDa.
majburi ne gharvali ki,
payal bhi girvi rakh vali.
kya holi aur kya divali॥
kya holi aur kya divali,
hai ghar apna khali khali,
do phool khile hain angan mein,
hai karna unki rakhvali.
kya holi aur kya divali॥
phir subah kaam par jana hai,
shaam ko laut ke aana hai.
bas do sau rupe majuri hai,
rashan pani bhi lana hai.
bhool raha hoon shayad kuch to,
haan! guDiya do choti vali
kya holi aur kya divali॥
haath pair mein dard bahut hai,
dhan kam hai par marz bahut hai.
jane kitna byaaj chukana,
sir par apne karz bahut hai.
tyauharon par ek tarah ki,
saDi pahne hai gharvali.
kya holi aur kya divali॥
jab vikat samay hai aan paDa
hai chaukhat par tufan khaDa.
ankhon se bahti hai piDa,
pairon mein hai samman paDa.
majburi ne gharvali ki,
payal bhi girvi rakh vali.
kya holi aur kya divali॥
स्रोत :
रचनाकार : विकास आर्य स्वप्न
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.