काल के मस्तक पे अंकित
पुण्य क्या है? पाप क्या है?
भावनाओं की गणित में
बोध का परिमाप क्या है?
कंठ से निकले हुए हर शब्द का आकार अपना
क्या करूँ अपना समर्थन क्या करूँ प्रतिकार अपना
सबको अपनी कर्म निधि का मोल मिलता है जगत् में
सूर्य का अपना है शासन, चाँद का अधिकार अपना
सब प्रदर्शन कर रहे हैं अपने अपने धर्म पथ पर
क्या लिखूँ अपराध दिन का?
रात का संताप क्या है?
कर्म क्या है? सत्य के भावों को समुचित अर्थ देना
सत्य क्या है? जो भी जैसा है उसे स्वीकार कर लूँ
धर्म क्या है? सत्य पथ पर अग्नि मंथन प्राण का है
मोक्ष क्या है? प्राण की नौका पे जीवन पार लूँ
सृष्टि के सागर में ये मानव युगों से खोजता है
इस जगत् में आहुति का
मंत्र क्या है? जाप क्या है?
यज्ञ में समभाव+ना के भावनाएँ होम कर के
और फिर उसमें विलय अस्तित्व का हर रोम कर के
इक वही निर्माण के प्रारम्भ हैं, और अंत भी हैं
सारे स्वर, अक्षर, कलाएँ, प्रार्थनाएँ ओम् कर के
आदि वीणा के सभी तारों को झंकृत कर रहा हूँ,
भाल पर लिखा हुआ
प्रारब्ध का आलाप क्या है?
काल के मस्तक पे अंकित…
kaal ke mastak pe ankit
punya kya hai? paap kya hai?
bhavnaon ki ganit mein
bodh ka parimap kya hai?
kanth se nikle hue har shabd ka akar apna
kya karun apna samarthan kya karun pratikar apna
sabko apni karm nidhi ka mol milta hai jagat men
surya ka apna hai shasan, chaand ka adhikar apna
sab pradarshan kar rahe hain apne apne dharm path par
kya likhun apradh din ka?
raat ka santap kya hai?
kaal ke mastak pe ankit. . .
karm kya hai? satya ke bhavon ko samuchit arth dena
satya kya hai? jo bhi jaisa hai use svikar kar loon
dharm kya hai? satya path par agni manthan praan ka hai
moksh kya hai? praan ki nauka pe jivan paar loon
srishti ke sagar mein ye manav yugon se khojta hai
is jagat mein ahuti ka
mantr kya hai? jaap kya hai?
yagya mein sambhav+na ke bhavnayen hom kar ke
aur phir usmen vilay astitv ka har rom kar ke
ik vahi nirman ke prarambh hain, aur ant bhi hain
sare svar, akshar, kalayen, prarthnayen om kar ke
aadi vina ke sabhi taron ko jhankrit kar raha hoon,
bhaal par likha hua
prarabdh ka alap kya hai?
kaal ke mastak pe ankit…

स्रोत :
रचनाकार : क्षितिज
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.