जानना है इन घनेरे बादलों के पार क्या है।
कैसी है आकाश गंगा,
कैसा है यह सौर्यमंडल।
कैसे ये नक्षत्र, तारें,
है अचंभित जिनसे भूतल॥
कौन है वो देवता जो,
बैठा लेकर चिर समाधी।
कौन जिसने बिन धरातल,
गेंद-सी दुनिया टिका दी॥
जो कथा अब तक सुनी है,
उस कथा का सार क्या है।
इक पवन उत्तर दिशा में,
उस क्षितिज तक जा रही है।
जिस क्षितिज से सीढ़ियाँ कुछ,
बादलों को भेदती हैं॥
बादलों के पार नभ में,
चंद्रमा और सूर्य का घर।
जो गया वापस न लौटा,
देखकर वो लोक सुंदर॥
देखना है रश्मियों का,
वो कथित संसार क्या है।
हम युगों से सुन रहे हैं,
स्वर्ग की अद्भुत कथाएँ।
कौन जाने सत्य है सब,
या हैं कोरी कल्पनाएँ।
इन जटिल प्रश्नो से मेरे,
कोई है जो पार पाए।
कोई तो निश्चित ही होगा,
जो मुझे भी तार पाए।
मेरी इन सब उलझनों का
कुछ कहो उपचार क्या है।
janna hai in ghanere badlon ke paar kya hai.
kaisi hai akash ganga,
kaisa hai ye saurymanDal.
kaise ye nakshatr, taren,
hai achambhit jinse bhutal॥
kaun hai wo devta jo,
baitha lekar chir samadhi.
kaun jisne bin dharatal,
gend si duniya tika dee॥
jo katha ab tak suni hai,
us katha ka saar kya hai.
ik pavan uttar disha mein,
us kshitij tak ja rahi hai.
jis kshitij se siDhiyan kuch,
badlon ko bhedti hain॥
badlon ke paar nabh mein,
chandrma aur surya ka ghar.
jo gaya vapas na lauta,
dekhkar wo lok sundar॥
dekhana hai rashmiyon ka,
wo kathit sansar kya hai.
hum yugon se sun rahe hain,
svarg ki adbhut kathayen.
kaun jane satya hai sab,
ya hain kori kalpnayen.
in jatil prashno se mere,
koi hai jo paar pae.
koi to nishchit hi hoga,
jo mujhe bhi taar pae.
meri in sab ulajhnon ka
kuch kaho upchaar kya hai.
janna hai in ghanere badlon ke paar kya hai.
kaisi hai akash ganga,
kaisa hai ye saurymanDal.
kaise ye nakshatr, taren,
hai achambhit jinse bhutal॥
kaun hai wo devta jo,
baitha lekar chir samadhi.
kaun jisne bin dharatal,
gend si duniya tika dee॥
jo katha ab tak suni hai,
us katha ka saar kya hai.
ik pavan uttar disha mein,
us kshitij tak ja rahi hai.
jis kshitij se siDhiyan kuch,
badlon ko bhedti hain॥
badlon ke paar nabh mein,
chandrma aur surya ka ghar.
jo gaya vapas na lauta,
dekhkar wo lok sundar॥
dekhana hai rashmiyon ka,
wo kathit sansar kya hai.
hum yugon se sun rahe hain,
svarg ki adbhut kathayen.
kaun jane satya hai sab,
ya hain kori kalpnayen.
in jatil prashno se mere,
koi hai jo paar pae.
koi to nishchit hi hoga,
jo mujhe bhi taar pae.
meri in sab ulajhnon ka
kuch kaho upchaar kya hai.
स्रोत :
रचनाकार : निशांत माधव
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.