मेरे  दुःख-दर्द  की  कुछ  ऐसी  कहानी  है।  
छप्पर  से  चूता-सा  वर्षा  का  पानी  है॥  
बचपन  में  मेरे  इक  धूल  का  सिंधौरा  था  
आपस  में  खेलने  को  गोबर  का  चौरा  था  
मेरा  ये  जीवन  अब  बेहया-सा  बौरा  था  
लहरें  अब  जीवन  की  ऐसी  तूफ़ानी  हैं।  
छप्पर  से  चूता-सा  वर्षा  का  पानी  है॥  
मुखिया  के  बेटे  के  पीठ  लदी  पटरी  है  
वहीं  मेरे  पीठ  लदी  कुछ  सूखी  लकड़ी  है  
भट्ठी  में  आग  झोंकने  की  धुन  जकड़ी  है  
भाग्य  है  ये  मेरा  या  सबकी  कहानी  है।  
छप्पर  से  चूता-सा  वर्षा  का  पानी  है॥  
मन  में  यह  सोचता  हूँ  बच्चे  पढ़ाऊँगा  
भट्ठी  की  आँच  नहीं  रोटी  खिलाऊँगा  
मुखिया  के  बेटे-सा  उसको  बनाऊँगा  
बचपन  के  सपनों  में  बिल्कुल  नादानी  है।  
छप्पर  से  चूता-सा  वर्षा  का  पानी  है॥  
             
                mere  duःkh  dard  ki  kuch  aisi  kahani  hai.  
chhappar  se  chuta  sa  varsha  ka  pani  hai॥  
bachpan  mein  mere  ik  dhool  ka  sindhaura  tha,  
aapas  mein  khelne  ko  gobar  ka  chaura  tha,  
mera  ye  jivan  ab  behaya  sa  baura  tha,  
lahren  ab  jivan  ki  aisi  tufani  hain.  
chhappar  se  chuta  sa  varsha  ka  pani  hai॥  
mukhiya  ke  bete  ke  peeth  ladi  patri  hai,  
vahin  mere  peeth  ladi  kuch  sukhi  lakDi  hai,  
bhatthi  mein  aag  jhonkne  ki  dhun  jakDi  hai,  
bhagya  hai  ye  mera  ya  sabki  kahani  hai.  
chhappar  se  chuta  sa  varsha  ka  pani  hai॥  
man  mein  ye  sochta  hoon  bachche  paDhaunga,  
bhatthi  ki  anch  nahin  roti  khilaunga,  
mukhiya  ke  bete  sa  usko  banaunga,  
bachpan  ke  sapnon  mein  bilkul  nadani  hai.  

        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : विनम्र सेन सिंह  
                                            
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.