शीरे  की  गंध  में  डूबा  
एक  गाँव  
मिल  का  मैनेजर  ख़ुश  है  कि  चीनी  के  बोरों  पर  
सर  रखकर  वह  ऊँघ  सकता  है।  
काम  पर  जाने  को  भागते  
फटिहल  कार्डों  को  पंचिंग  मशीन  में  फँसाते  लोग  
मिल  के  उस  शोर  में  भूल  जाते  हैं  
रसोईघर  में  से  आने  वाली  ढेरों  शिकायतें  कि  बर्तनों  पर  
जमने  वाली  धूल  
उनका  रंग  बदलती  है।  
शीरे  की  गंध  में  डूबे  
गाँव  के  लोग  सूँघ  नहीं  पाते  
मिल  मैनेजर  के  ख़याल  में  
यही  बहुत  है  कि  वे  सुन  लेते  हैं  
झुलसे  हुए  खेतों  की  रोशनी  में  दिखते  उस  
रास्ते  में  साइकिल  खींचता  नौजवान  
ग़ुस्सा  हो  जाता  है  
कीचड़  में  पहिया  धँसाकर  
बताता  है  एक  आदमी  की  कहानी  
पचास  साल  पहले  मर  चुके  आदमी  की  कहानी  
“जो  लड़ा  था  
उसने  किए  थे  आंदोलन  
एक  आदमी  था  हमारे  गाँव  में”  
उसे  पूरी  उम्मीद  है  कि  हवा  की  गंध  को  
वह  थोड़ा  बचा  सकेगा  
थोड़े-से  पेड़ों  से  टकराकर  
जो  एक  जले  हुए  गढ़ों  वाले  खेत  में  
ग़ायब  हो  जाती  है  
एक  धर्मात्मा  की  कृपा  से  
उस  उजाड़  के  पुराने  मंदिर  के  
सूखे  तालाब  में  
हवा  पत्थर  के  खंभों  के  पलस्तर  की  
सीलन  से  टकराकर  
उस  नौजवान  के  सीने  में  
उतर  जाती  है  
हवा—जिसमें  बड़ी  तेज़  गंध  है  
शीरे  की।  
                shire  ki  gandh  mein  Duba  
ek  ganw  
mil  ka  manager  khush  hai  ki  chini  ke  boron  par  
sar  rakhkar  wo  ungh  sakta  hai  
kaam  par  jane  ko  bhagte  
phatihal  karDon  ko  panching  machine  mein  phansate  log  
mil  ke  us  shor  mein  bhool  jate  hain  
rasoighar  mein  se  aane  wali  Dheron  shikayten  ki  bartnon  par  
jamne  wali  dhool  
unka  rang  badalti  hai  
shire  ki  gandh  mein  Dube  
ganw  ke  log  soongh  nahin  pate  
mil  manager  ke  khayal  mein  
yahi  bahut  hai  ki  we  sun  lete  hain  
jhulse  hue  kheton  ki  roshni  mein  dikhte  us  
raste  mein  cycle  khinchta  naujawan  
ghussa  ho  jata  hai  
kichaD  mein  pahiya  dhansakar  
batata  hai  ek  adami  ki  kahani  
pachas  sal  pahle  mar  chuke  adami  ki  kahani  
“jo  laDa  tha  
usne  kiye  the  andolan  
ek  adami  tha  hamare  ganw  mein”  
use  puri  ummid  hai  ki  hawa  ki  gandh  ko  
wo  thoDa  bacha  sakega  
thoDe  se  peDon  se  takrakar  
jo  ek  jale  hue  gaDhon  wale  khet  mein  
ghayab  ho  jati  hai  
ek  dharmatma  ki  kripa  se  
us  ujaD  ke  purane  mandir  ke  
sukhe  talab  mein  
hawa  patthar  ke  khambhon  ke  palastar  ki  
silan  se  takrakar  
us  naujawan  ke  sine  mein  
utar  jati  hai  
hawa—jismen  baDi  tez  gandh  hai  
shire  ki  
shire  ki  gandh  mein  Duba  
ek  ganw  
mil  ka  manager  khush  hai  ki  chini  ke  boron  par  
sar  rakhkar  wo  ungh  sakta  hai  
kaam  par  jane  ko  bhagte  
phatihal  karDon  ko  panching  machine  mein  phansate  log  
mil  ke  us  shor  mein  bhool  jate  hain  
rasoighar  mein  se  aane  wali  Dheron  shikayten  ki  bartnon  par  
jamne  wali  dhool  
unka  rang  badalti  hai  
shire  ki  gandh  mein  Dube  
ganw  ke  log  soongh  nahin  pate  
mil  manager  ke  khayal  mein  
yahi  bahut  hai  ki  we  sun  lete  hain  
jhulse  hue  kheton  ki  roshni  mein  dikhte  us  
raste  mein  cycle  khinchta  naujawan  
ghussa  ho  jata  hai  
kichaD  mein  pahiya  dhansakar  
batata  hai  ek  adami  ki  kahani  
pachas  sal  pahle  mar  chuke  adami  ki  kahani  
“jo  laDa  tha  
usne  kiye  the  andolan  
ek  adami  tha  hamare  ganw  mein”  
use  puri  ummid  hai  ki  hawa  ki  gandh  ko  
wo  thoDa  bacha  sakega  
thoDe  se  peDon  se  takrakar  
jo  ek  jale  hue  gaDhon  wale  khet  mein  
ghayab  ho  jati  hai  
ek  dharmatma  ki  kripa  se  
us  ujaD  ke  purane  mandir  ke  
sukhe  talab  mein  
hawa  patthar  ke  khambhon  ke  palastar  ki  
silan  se  takrakar  
us  naujawan  ke  sine  mein  
utar  jati  hai  
hawa—jismen  baDi  tez  gandh  hai  
shire  ki  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : विनोद भारद्वाज 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.