सिलिया  चमारिन  अगर  
चमारिन  नहीं  होती  
तो  वह  डोमिन  होती  
डोमिन  नहीं  होती  
तो  वह  मछुवारिन  होती  
अगर  वह  मछुवारिन  नहीं  होती  
तो  वह...  
ख़ैर  वह  कुछ  भी  होती  
फिर  भी  वह  सिलिया  चमारिन  ही  होती  
जैसे  की  पंडित  मातादीन  कुछ  भी  होते  
मगर  वह  पहले  पंडित  मातादीन  ही  होते  
और  यह  पूरा  गाँव  पांडेपुर  ही  होता  
और  यह  पूरा  देश  भारतवर्ष  
अगर  पंडित  मातादीन  को  बेटा  होता  
तो  वह  गोरा  होता  
पंडितायन  गोरी  थीं  
अगर  सिलिया  चमारिन  को  बेटी  होती  
तो  वह  काली  होती  
पंडित  मातादीन  काले  थे  
सिलिया  चमारिन  का  छुआ  
पंडित  खा  नहीं  सकते  थे  
पंडितायन  की  सख़्त  हिदायत  थी  
पंडित  उन्हें  ना  छुएँ  
करिया  चमारिन  और  
पंडित  उज्ज्वल  प्रकाश  के  
जन्म  के  बीच  दो  दिन  का  फ़र्क़  है  
आख़िर  दो  दिन  में  
कितने  युग  होते  हैं?  
                siliya  chamarin  agar  
chamarin  nahin  hoti  
to  wo  Domin  hoti  
Domin  nahin  hoti  
to  wo  machhuwarin  hoti  
agar  wo  machhuwarin  nahin  hoti  
to  wo  
khair  wo  kuch  bhi  hoti  
phir  bhi  wo  siliya  chamarin  hi  hoti  
jaise  ki  panDit  matadin  kuch  bhi  hote  
magar  wo  pahle  panDit  matadin  hi  hote  
aur  ye  pura  ganw  panDepur  hi  hota  
aur  ye  pura  desh  bharatwarsh  
agar  panDit  matadin  ko  beta  hota  
to  wo  gora  hota  
panDitayan  gori  theen  
agar  siliya  chamarin  ko  beti  hoti  
to  wo  kali  hoti  
panDit  matadin  kale  the  
siliya  chamarin  ka  chhua  
panDit  kha  nahin  sakte  the  
panDitayan  ki  sakht  hidayat  thi  
panDit  unhen  na  chhuen  
kariya  chamarin  aur  
panDit  ujjwal  parkash  ke  
janm  ke  beech  do  din  ka  farq  hai  
akhir  do  din  mein  
kitne  yug  hote  hain?  
siliya  chamarin  agar  
chamarin  nahin  hoti  
to  wo  Domin  hoti  
Domin  nahin  hoti  
to  wo  machhuwarin  hoti  
agar  wo  machhuwarin  nahin  hoti  
to  wo  
khair  wo  kuch  bhi  hoti  
phir  bhi  wo  siliya  chamarin  hi  hoti  
jaise  ki  panDit  matadin  kuch  bhi  hote  
magar  wo  pahle  panDit  matadin  hi  hote  
aur  ye  pura  ganw  panDepur  hi  hota  
aur  ye  pura  desh  bharatwarsh  
agar  panDit  matadin  ko  beta  hota  
to  wo  gora  hota  
panDitayan  gori  theen  
agar  siliya  chamarin  ko  beti  hoti  
to  wo  kali  hoti  
panDit  matadin  kale  the  
siliya  chamarin  ka  chhua  
panDit  kha  nahin  sakte  the  
panDitayan  ki  sakht  hidayat  thi  
panDit  unhen  na  chhuen  
kariya  chamarin  aur  
panDit  ujjwal  parkash  ke  
janm  ke  beech  do  din  ka  farq  hai  
akhir  do  din  mein  
kitne  yug  hote  hain?  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : अच्युतानंद मिश्र 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.