जलाते  चलो  ये  दीए  स्नेह  भर-भर  
कभी  तो  धरा  का  अँधेरा  मिटेगा!  
भले  शक्ति  विज्ञान  में  है  निहित  वह  
कि  जिससे  अमावस  बने  पूर्णिमा-सी,  
मगर  विश्व  पर  आज  क्यों  दिवस  ही  में  
घिरी  आ  रही  है  अमावस  निशा-सी।  
बिना  स्नेह  विद्युत-दीए  जल  रहे  जो  
बुझाओ  इन्हें,  यों  न  पथ  मिल  सकेगा।  
जला  दीप  पहला  तुम्हीं  ने  तिमिर  की  
चुनौती  प्रथम  बार  स्वीकार  की  थी।  
तिमिर  की  सरित  पार  करने,  तुम्हीं  ने  
बना  दीप  की  नाव  तैयार  की  थी।  
बहाते  चलो  नाव  तुम  वह  निरंतर  
कभी  तो  तिमिर  का  किनारा  मिलेगा।  
युगों  से  तुम्हीं  ने  तिमिर  की  शिला  पर  
दीए  अनगिनत  है  निरंतर  जलाए  
समय  साक्षी  है  कि  जलते  हुए  दीप  
अनगिन  तुम्हारे,  पवन  ने  बुझाए  
मगर  बुझ  स्वयं  ज्योति  जो  दे  गए  वे  
उसी  से  तिमिर  को  उजाला  मिलेगा।  
दीए  और  तूफ़ान  की  यह  कहानी  
चली  आ  रही  और  चलती  रहेगी  
जली  जो  प्रथम  बार  लौ  उस  दीए  की  
जली  स्वर्ण-सी  है,  और  जलती  रहेगी।  
रहेगा  धरा  पर  दिया  एक  भी  यदि  
कभी  तो  निशा  को  सवेरा  मिलेगा।  
जलाते  चलो  ये  दीए  स्नेह  भर-भर  
कभी  तो  धरा  का  अँधेरा  मिटेगा!  
             
                jalate  chalo  ye  diye  sneh  bhar  bhar  
kabhi  to  dhara  ka  andhera  mitega!  
bhale  shakti  wigyan  mein  hai  nihit  wo  
ki  jisse  amawas  bane  purnaima  si,  
magar  wishw  par  aaj  kyon  diwas  hi  mein  
ghiri  aa  rahi  hai  amawas  nisha  si  
bina  sneh  widyut  diye  jal  rahe  jo  
bujhao  inhen,  yon  na  path  mil  sakega  
jala  deep  pahla  tumhin  ne  timir  ki  
chunauti  pratham  bar  swikar  ki  thi  
timir  ki  sarit  par  karne,  tumhin  ne  
bana  deep  ki  naw  taiyar  ki  thi  
bahate  chalo  naw  tum  wo  nirantar  
kabhi  to  timir  ka  kinara  milega  
yugon  se  tumhin  ne  timir  ki  shila  par  
diye  anaginat  hai  nirantar  jalaye  
samay  sakshi  hai  ki  jalte  hue  deep  
angin  tumhare,  pawan  ne  bujhaye  
magar  bujh  swayan  jyoti  jo  de  gaye  we  
usi  se  timir  ko  ujala  milega  
diye  aur  tufan  ki  ye  kahani  
chali  aa  rahi  aur  chalti  rahegi  
jali  jo  pratham  bar  lau  us  diye  ki  
jali  swarn  si  hai,  aur  jalti  rahegi  
rahega  dhara  par  diya  ek  bhi  yadi  
kabhi  to  nisha  ko  sawera  milega  
jalate  chalo  ye  diye  sneh  bhar  bhar  
kabhi  to  dhara  ka  andhera  mitega!  
jalate  chalo  ye  diye  sneh  bhar  bhar  
kabhi  to  dhara  ka  andhera  mitega!  
bhale  shakti  wigyan  mein  hai  nihit  wo  
ki  jisse  amawas  bane  purnaima  si,  
magar  wishw  par  aaj  kyon  diwas  hi  mein  
ghiri  aa  rahi  hai  amawas  nisha  si  
bina  sneh  widyut  diye  jal  rahe  jo  
bujhao  inhen,  yon  na  path  mil  sakega  
jala  deep  pahla  tumhin  ne  timir  ki  
chunauti  pratham  bar  swikar  ki  thi  
timir  ki  sarit  par  karne,  tumhin  ne  
bana  deep  ki  naw  taiyar  ki  thi  
bahate  chalo  naw  tum  wo  nirantar  
kabhi  to  timir  ka  kinara  milega  
yugon  se  tumhin  ne  timir  ki  shila  par  
diye  anaginat  hai  nirantar  jalaye  
samay  sakshi  hai  ki  jalte  hue  deep  
angin  tumhare,  pawan  ne  bujhaye  
magar  bujh  swayan  jyoti  jo  de  gaye  we  
usi  se  timir  ko  ujala  milega  
diye  aur  tufan  ki  ye  kahani  
chali  aa  rahi  aur  chalti  rahegi  
jali  jo  pratham  bar  lau  us  diye  ki  
jali  swarn  si  hai,  aur  jalti  rahegi  
rahega  dhara  par  diya  ek  bhi  yadi  
kabhi  to  nisha  ko  sawera  milega  
jalate  chalo  ye  diye  sneh  bhar  bhar  
kabhi  to  dhara  ka  andhera  mitega!  
 
             
        
        
            
            
            
                Videos This video is playing from YouTube  
                
                
             
            
                    
                         
                        द्वारिका प्रसाद माहेश्वरी 
                          
                     
             
         
        
        
    
 
    
        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : मल्हार (पृष्ठ 60) 
                                                                    रचनाकार  : द्वारिका प्रसाद माहेश्वरी  
                                            
                             प्रकाशन  : एनसीईआरटी
                         
                                                संस्करण   : 2022 
                 
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.