मैं अब
स्त्री की तरह रहूँगा।
वे युद्ध नहीं करतीं
शराब नहीं पीतीं
हत्या नहीं करतीं
बहुत काम करती हैं
और प्रेम करती हैं
वे चुपचाप इस धरती का दर्द
जानती हैं
सुंदर होती हैं
उन्हें देखना मुझे
इतना अच्छा लगता है
कि मेरा हृदय
फूल की तरह
खिलना चाहता है।
वे माँ होती हैं
मैं अब
स्त्री की तरह रहूँगा
माँ की तरह।
main ab
istri ki tarah rahunga
we yudh nahin kartin
sharab nahin pitin
hattya nahin kartin
bahut kaam karti hain
aur prem karti hain
we chupchap is dharti ka dard
janti hain
sundar hoti hain
unhen dekhana mujhe
itna achchha lagta hai
ki mera hirdai
phool ki tarah
khilna chahta hai
we man hoti hain
main ab
istri ki tarah rahunga
man ki tarah
main ab
istri ki tarah rahunga
we yudh nahin kartin
sharab nahin pitin
hattya nahin kartin
bahut kaam karti hain
aur prem karti hain
we chupchap is dharti ka dard
janti hain
sundar hoti hain
unhen dekhana mujhe
itna achchha lagta hai
ki mera hirdai
phool ki tarah
khilna chahta hai
we man hoti hain
main ab
istri ki tarah rahunga
man ki tarah
स्रोत :
- पुस्तक : हर घर से ग़ायब (पृष्ठ 61)
- रचनाकार : नवीन सागर
-
प्रकाशन : सूर्य प्रकाशन मंदिर
- संस्करण : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.