पुराने शहर की इस छत पर
पूरे चाँद की रात
याद आ रही है वर्षों पहले की
जंगल की एक रात
जब चाँद के नीचे
जंगल पुकार रहे थे जंगल को
और बारहसिंगे
पीछे छूट गए बारहसिंगों को
निर्जन मोड़ पर ऊँची झाड़ियों में
ओझल होते हुए
क्या वे सब अभी तक बचे हुए हैं
पीली मिट्टी के रास्ते और खरहे
महोगनी के घने पेड़
तेज़ महक वाली कड़ी घास
देर तक गोधूलि ओस
रखवारे की झोपड़ी और
उसके ऊपर सात तारे
पूरे चाँद की इस शहरी रात में
किसलिए आ रही है याद
जंगल की रात?
छत से झाँकता हूँ नीचे
आधी रात बिखर रही है
सबसे अधिक खींचते हैं फ़ुटपाथ
ख़ाली खुले आधी रात के बाद के फ़ुटपाथ
जैसे आँगन छाए रहे मुझमें बचपन से ही
और खुली छतें बुलाती रहीं रात होते ही
कहीं भी रहूँ
क्या है चाँद के उजाले में
इस बिखरती हुई आधी रात में
एक असहायता
जो मुझे कुचलती है और एक उम्मीद
जो तकलीफ़ जैसी है
शहर में इस तरह बसे
कि परिवार का टूटना ही उसकी बुनियाद हो जैसे
न पुरखे साथ आए न गाँव न जंगल न जानवर
शहर में बसने का क्या मतलब है
शहर में ही ख़त्म हो जाना?
एक विशाल शरणार्थी शिविर के दृश्य
हर कहीं उनके भविष्यहीन तंबू
हम कैसे सफ़र में शामिल हैं
कि हमारी शक्ल आज भी विस्थापितों जैसी
सिर्फ़ कहने के लिए कोई अपना शहर है
कोई अपना घर है
इसके भीतर भी हम भटकते ही रहते हैं
लखनऊ में बहुत कम बच रहा है लखनऊ
इलाहाबाद में बहुत कम इलाहाबाद
कानपुर और बनारस और पटना और अलीगढ़
अब इन्हीं शहरों में
कई तरह की हिंसा कई तरह के बाज़ार
कई तरह के सौदाई
इनके भीतर इनके आस-पास
इनसे बहुत दूर बंबई हैदराबाद अमृतसर
और श्रीनगर तक
हिंसा
और हिंसा की तैयारी
और हिंसा की ताक़त
बहस नहीं चल पाती
हत्याएँ होती हैं
फिर जो बहस चलती है
उसका भी अंत हत्याओं में होता है
भारत में जन्म लेने का
मैं भी कोई मतलब पाना चाहता था
अब वह भारत ही नहीं रहा
जिसमें जन्म लिया
क्या है इस पूरे चाँद के उजाले में
इस बिखरती हुई आधी रात में
जो मेरी साँस
लाहौर और कराची और सिंध तक उलझती है?
क्या लाहौर बच रहा है?
वह अब किस मुल्क में है?
न भारत में न पाकिस्तान में
न उर्दू में न पंजाबी में
पूछो राष्ट्र निर्माताओं से
क्या लाहौर फिर बस पाया?
जैसे यह अछूती
आज की शाम की सफ़ेद रात
एक सच्चाई है
लाहौर भी मेरी सच्चाई है
कहाँ है वह
हरे आसमान वाला शहर बग़दाद
ढूँढ़ो उसे
अब वह अरब में कहाँ है?
पूछो युद्ध सरदारों से
इस सफ़ेद हो रही रात में
क्या वे बग़दाद को फिर से बना सकते है?
वे तो खजूर का एक पेड़ भी नहीं उगा सकते हैं
वे तो रेत में उतना भी पैदल नहीं चल सकते
जितना एक बच्चा ऊँट का चलता है
ढूह और ग़ुबार से
अंतरिक्ष की तरह खेलता हुआ
क्या वे एक ऊँट बना सकते हैं?
एक गुंबद एक तरबूज़ एक ऊँची सुराही
एक सोता
जो धीरे-धीरे चश्मा बना
एक गली
जो ऊँची दीवारों के साये में शहर घूमती थी
और गली में
सिर पर फ़ीरोज़ी रूमाल बाँधे एक लड़की
जो फिर कभी उस गली में नहीं दिखेगी
अब उसे याद करोगे
तो वह याद आएगी
अब तुम्हारी याद ही उसका बग़दाद है
तुम्हारी याद ही उसकी गली है उसकी उम्र है
उसका फ़ीरोज़ी रूमाल है
जब भगत सिंह फाँसी के तख़्ते की ओर बढ़े
तो अहिंसा ही थी
उनका सबसे मुश्किल सरोकार
अगर उन्हे क़बूल होता
युद्ध सरदारों का न्याय
तो वे भी जीवित रह लेते
बर्दाश्त कर लेते
धीरे-धीरे उजड़ते रोज़ मरते हुए
लाहौर की तरह
बनारस अमृतसर लखनऊ इलाहाबाद
कानपुर और श्रीनगर की तरह।
purane shahr ki is chhat par
pure chand ki raat
yaad aa rahi hai warshon pahle ki
jangal ki ek raat
jab chand ke niche
jangal pukar rahe the jangal ko
aur barahsinge
pichhe chhoot gaye barahsingon ko
nirjan moD par unchi jhaDiyon mein
ojhal hote hue
kya we sab abhi tak bache hue hain
pili mitti ke raste aur kharhe
mahogani ke ghane peD
tez mahak wali kaDi ghas
der tak godhuli os
rakhware ki jhopDi aur
uske upar sat tare
pure chand ki is shahri raat mein
kisaliye aa rahi hai yaad
jangal ki raat?
chhat se jhankta hoon niche
adhi raat bikhar rahi hai
door door tak chand ki roshni
sabse adhik khinchte hain footpath
khali khule aadhi raat ke baad ke footpath
jaise angan chhaye rahe mujhmen bachpan se hi
aur khuli chhaten bulati rahin raat hote hi
kahin bhi rahun
kya hai chand ke ujale mein
is bikharti hui aadhi raat mein
ek ashayta
jo mujhe kuchalti hai aur ek ummid
jo taklif jaisi hai
shahr mein is tarah base
ki pariwar ka tutna hi uski buniyad ho jaise
na purkhe sath aaye na ganw na jangal na janwar
shahr mein basne ka kya matlab hai
shahr mein hi khatm ho jana?
ek wishal sharnarthi shiwir ke drishya
har kahin unke bhawishyhin tambu
hum kaise safar mein shamil hain
ki hamari shakl aaj bhi wisthapiton jaisi
sirf kahne ke liye koi apna shahr hai
koi apna ghar hai
iske bhitar bhi hum bhatakte hi rahte hain
lucknow mein bahut kam bach raha hai lucknow
allahabad mein bahut kam allahabad
kanpur aur banaras aur patna aur aligaDh
ab inhin shahron mein
kai tarah ki hinsa kai tarah ke bazar
kai tarah ke saudai
inke bhitar inke aas pas
inse bahut door bambai hyderabad amaritsar
aur shringar tak
hinsa
aur hinsa ki taiyari
aur hinsa ki taqat
bahs nahin chal pati
hatyayen hoti hain
phir jo bahs chalti hai
uska bhi ant hatyaon mein hota hai
bharat mein janm lene ka
main bhi koi matlab pana chahta tha
ab wo bharat hi nahin raha
jismen janm liya
kya hai is pure chand ke ujale mein
is bikharti hui aadhi raat mein
jo meri sans
lahore aur karachi aur sindh tak ulajhti hai?
kya lahore bach raha hai?
wo ab kis mulk mein hai?
na bharat mein na pakistan mein
na urdu mein na panjabi mein
puchho rashtra nirmataon se
kya lahore phir bus paya?
jaise ye achhuti
aj ki sham ki safed raat
ek sachchai hai
lahore bhi meri sachchai hai
kahan hai wo
hare asman wala shahr baghdad
DhunDho use
ab wo arab mein kahan hai?
puchho yudh sardaron se
is safed ho rahi raat mein
kya we baghdad ko phir se bana sakte hai?
we to khajur ka ek peD bhi nahin uga sakte hain
we to ret mein utna bhi paidal nahin chal sakte
jitna ek bachcha unt ka chalta hai
Dhooh aur ghubar se
antriksh ki tarah khelta hua
kya we ek unt bana sakte hain?
ek gumbad ek tarbuz ek unchi surahi
ek sota
jo dhire dhire chashma bana
ek gali
jo unchi diwaron ke saye mein shahr ghumti thi
aur gali mein
sir par firozi rumal bandhe ek laDki
jo phir kabhi us gali mein nahin dikhegi
ab use yaad karoge
to wo yaad ayegi
ab tumhari yaad hi uska baghdad hai
tumhari yaad hi uski gali hai uski umr hai
uska firozi rumal hai
jab bhagat sinh phansi ke takhte ki or baDhe
to ahinsa hi thi
unka sabse mushkil sarokar
agar unhe qabu hota
yudh sardaron ka nyay
to we bhi jiwit rah lete
bardasht kar lete
dhire dhire ujaDte roz marte hue
lahore ki tarah
banaras amaritsar lucknow allahabad
kanpur aur shringar ki tarah
purane shahr ki is chhat par
pure chand ki raat
yaad aa rahi hai warshon pahle ki
jangal ki ek raat
jab chand ke niche
jangal pukar rahe the jangal ko
aur barahsinge
pichhe chhoot gaye barahsingon ko
nirjan moD par unchi jhaDiyon mein
ojhal hote hue
kya we sab abhi tak bache hue hain
pili mitti ke raste aur kharhe
mahogani ke ghane peD
tez mahak wali kaDi ghas
der tak godhuli os
rakhware ki jhopDi aur
uske upar sat tare
pure chand ki is shahri raat mein
kisaliye aa rahi hai yaad
jangal ki raat?
chhat se jhankta hoon niche
adhi raat bikhar rahi hai
door door tak chand ki roshni
sabse adhik khinchte hain footpath
khali khule aadhi raat ke baad ke footpath
jaise angan chhaye rahe mujhmen bachpan se hi
aur khuli chhaten bulati rahin raat hote hi
kahin bhi rahun
kya hai chand ke ujale mein
is bikharti hui aadhi raat mein
ek ashayta
jo mujhe kuchalti hai aur ek ummid
jo taklif jaisi hai
shahr mein is tarah base
ki pariwar ka tutna hi uski buniyad ho jaise
na purkhe sath aaye na ganw na jangal na janwar
shahr mein basne ka kya matlab hai
shahr mein hi khatm ho jana?
ek wishal sharnarthi shiwir ke drishya
har kahin unke bhawishyhin tambu
hum kaise safar mein shamil hain
ki hamari shakl aaj bhi wisthapiton jaisi
sirf kahne ke liye koi apna shahr hai
koi apna ghar hai
iske bhitar bhi hum bhatakte hi rahte hain
lucknow mein bahut kam bach raha hai lucknow
allahabad mein bahut kam allahabad
kanpur aur banaras aur patna aur aligaDh
ab inhin shahron mein
kai tarah ki hinsa kai tarah ke bazar
kai tarah ke saudai
inke bhitar inke aas pas
inse bahut door bambai hyderabad amaritsar
aur shringar tak
hinsa
aur hinsa ki taiyari
aur hinsa ki taqat
bahs nahin chal pati
hatyayen hoti hain
phir jo bahs chalti hai
uska bhi ant hatyaon mein hota hai
bharat mein janm lene ka
main bhi koi matlab pana chahta tha
ab wo bharat hi nahin raha
jismen janm liya
kya hai is pure chand ke ujale mein
is bikharti hui aadhi raat mein
jo meri sans
lahore aur karachi aur sindh tak ulajhti hai?
kya lahore bach raha hai?
wo ab kis mulk mein hai?
na bharat mein na pakistan mein
na urdu mein na panjabi mein
puchho rashtra nirmataon se
kya lahore phir bus paya?
jaise ye achhuti
aj ki sham ki safed raat
ek sachchai hai
lahore bhi meri sachchai hai
kahan hai wo
hare asman wala shahr baghdad
DhunDho use
ab wo arab mein kahan hai?
puchho yudh sardaron se
is safed ho rahi raat mein
kya we baghdad ko phir se bana sakte hai?
we to khajur ka ek peD bhi nahin uga sakte hain
we to ret mein utna bhi paidal nahin chal sakte
jitna ek bachcha unt ka chalta hai
Dhooh aur ghubar se
antriksh ki tarah khelta hua
kya we ek unt bana sakte hain?
ek gumbad ek tarbuz ek unchi surahi
ek sota
jo dhire dhire chashma bana
ek gali
jo unchi diwaron ke saye mein shahr ghumti thi
aur gali mein
sir par firozi rumal bandhe ek laDki
jo phir kabhi us gali mein nahin dikhegi
ab use yaad karoge
to wo yaad ayegi
ab tumhari yaad hi uska baghdad hai
tumhari yaad hi uski gali hai uski umr hai
uska firozi rumal hai
jab bhagat sinh phansi ke takhte ki or baDhe
to ahinsa hi thi
unka sabse mushkil sarokar
agar unhe qabu hota
yudh sardaron ka nyay
to we bhi jiwit rah lete
bardasht kar lete
dhire dhire ujaDte roz marte hue
lahore ki tarah
banaras amaritsar lucknow allahabad
kanpur aur shringar ki tarah
स्रोत :
पुस्तक : दुनिया रोज़ बनती है (पृष्ठ 91)
रचनाकार : आलोकधन्वा
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.