आदमी तो आदमी
मैं तो पानी के बारे में भी सोचता था
कि पानी को भारत में बसना सिखाऊँगा
सोचता था
पानी होगा आसान
पूरब जैसा
पुआल के टोप जैसा
मोम की रोशनी जैसा
गोधूलि में उस पार तक
मुश्किल से दिखाई देगा
और एक ऐसे देश में भटकाएगा
जिसे अभी नक़्शे में आना है
ऊँचाई पर जाकर फूल रही लतर
जैसे उठती रही हवा में नामालूम गुंबद तक
यह मिट्टी के घड़े में भरा रहेगा
जब भी मुझे प्यास लगेगी
शरद में हो जाएगा और भी पतला
साफ़ और धीमा
किनारे पर उगे पेड़ की छाया में
सोचता था
यह सिर्फ़ शरीर के ही काम नहीं आएगा
जो रात हमने नाव पर जगकर गुज़ारी
क्या उस रात पानी
सिर्फ़ शरीर तक आकर लौटता रहा?
क्या-क्या बसाया हमने
जब से लिखना शुरू किया?
उज़डते हुए बार-बार
उज़डने के बारे में लिखते हुए
पता नहीं वाणी का
कितना नुक़सान किया
पानी सिर्फ़ वही नहीं करता
जैसा उससे करने के लिए कहा जाता है
महज़ एक पौधे को सींचते हुए पानी
उसकी ज़रा-सी ज़मीन के भीतर भी
किस तरह जाता है
क्या स्त्रियों की आवाज़ों में बच रही हैं
पानी की आवाज़ें
और दूसरी सब आवाज़ें कैसी हैं?
दु:खी और टूटे हुए हृदय में
सिर्फ़ पानी की रात है
वहीं है आशा और वहीं है
दुनिया में फिर से लौट आने की अकेली राह।
adami to adami
main to pani ke bare mein bhi sochta tha
ki pani ko bharat mein basna sikhaunga
sochta tha
pani hoga asan
purab jaisa
pual ke top jaisa
mom ki roshni jaisa
godhuli mein us par tak
mushkil se dikhai dega
aur ek aise desh mein bhatkayega
jise abhi naqshe mein aana hai
unchai par jakar phool rahi latar
jaise uthti rahi hawa mein namalum gumbad tak
ye mitti ke ghaDe mein bhara rahega
jab bhi mujhe pyas lagegi
sharad mein ho jayega aur bhi patla
saf aur dhima
kinare par uge peD ki chhaya mein
sochta tha
ye sirf sharir ke hi kaam nahin ayega
jo raat hamne naw par jagkar guzari
kya us raat pani
sirf sharir tak aakar lautta raha?
kya kya basaya hamne
jab se likhna shuru kiya?
uzaDte hue bar bar
uzaDne ke bare mein likhte hue
pata nahin wani ka
kitna nuqsan kiya
pani sirf wahi nahin karta
jaisa usse karne ke liye kaha jata hai
mahz ek paudhe ko sinchte hue pani
uski zara si zamin ke bhitar bhi
kis tarah jata hai
kya striyon ki awazon mein bach rahi hain
pani ki awazen
aur dusri sab awazen kaisi hain?
duhkhi aur tute hue hirdai mein
sirf pani ki raat hai
wahin hai aasha aur wahin hai
duniya mein phir se laut aane ki akeli rah
adami to adami
main to pani ke bare mein bhi sochta tha
ki pani ko bharat mein basna sikhaunga
sochta tha
pani hoga asan
purab jaisa
pual ke top jaisa
mom ki roshni jaisa
godhuli mein us par tak
mushkil se dikhai dega
aur ek aise desh mein bhatkayega
jise abhi naqshe mein aana hai
unchai par jakar phool rahi latar
jaise uthti rahi hawa mein namalum gumbad tak
ye mitti ke ghaDe mein bhara rahega
jab bhi mujhe pyas lagegi
sharad mein ho jayega aur bhi patla
saf aur dhima
kinare par uge peD ki chhaya mein
sochta tha
ye sirf sharir ke hi kaam nahin ayega
jo raat hamne naw par jagkar guzari
kya us raat pani
sirf sharir tak aakar lautta raha?
kya kya basaya hamne
jab se likhna shuru kiya?
uzaDte hue bar bar
uzaDne ke bare mein likhte hue
pata nahin wani ka
kitna nuqsan kiya
pani sirf wahi nahin karta
jaisa usse karne ke liye kaha jata hai
mahz ek paudhe ko sinchte hue pani
uski zara si zamin ke bhitar bhi
kis tarah jata hai
kya striyon ki awazon mein bach rahi hain
pani ki awazen
aur dusri sab awazen kaisi hain?
duhkhi aur tute hue hirdai mein
sirf pani ki raat hai
wahin hai aasha aur wahin hai
duniya mein phir se laut aane ki akeli rah
स्रोत :
पुस्तक : दुनिया रोज़ बनती है (पृष्ठ 54)
रचनाकार : आलोकधन्वा
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.